Shab-e-naghma, Urdu Nazam By Saeed Ul Zafar Chughtai

Shab-e-naghma is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Saeed Ul Zafar Chughtai. Shab-e-naghma comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Shab-e-naghma on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شب نغمہ

سعید الظفر چغتائی

آگ اگلی ہے کہ برسائے ہیں پھول

جام کھنکائے ہیں کتنے باہم

وجد میں جسم بھی ہے روح بھی ہے

آنکھ کے ساتھ مچلتے ہیں دل

روح موسیقی مشخص گویا

خود مغنی پہ غنا کا ہے گماں

دودھیا جسم سنہری پوشاک

نور مہتاب سے اٹھتا ہے دھواں

پھیل جاتا ہے فضاؤں میں وہی

نغمہ و لحن کی خوشبو بن کر

خود ہے مخمور ہر آہنگ و ادا

خود تماشا بھی تماشائی ہے

ہے کسی کہنہ پری زاد کی روح

پئے گلگشت جو آج آئی ہے

بیس صدیوں سے تھی آسودۂ خواب

جاگی ہے نغمے کا جادو بن کر

نیم کا قلب نظارے سے دو نیم

ساز و آواز میں صدیوں کا خمار

نغمہ و نور سے شب ہے بیدار

ہمہ تن گوش ہے ذرہ ذرہ

کون ہے جو ہمہ تن ساز نہیں

کس جگہ دوست کی آواز نہیں

سعید الظفر چغتائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shab-e-naghma

Saeed Ul Zafar Chughtai

aag ugli hai ki barsae hain phul
jam khankae hain kitne baham
wajd mein jism bhi hai ruh bhi hai
aankh ke sath machalte hain dil
ruh-e-mausiqi mushaKHKHas goya
KHud mughanni pe ghina ka hai guman
dudhiya jism sunahri poshak
nur-e-mahtab se uThta hai dhuan
phail jata hai fazaon mein wahi
naghma-o-lahn ki KHushbu ban kar
KHud hai maKHmur har aahang-o-ada
KHud tamasha bhi tamashai hai
hai kisi kohna pari-zad ki ruh
pae-gul-gasht jo aaj aai hai
bis sadiyon se thi aasuda-e-KHwab
jagi hai naghme ka jadu ban kar
nim ka qalb nazare se do-nim
saz-o-awaz mein sadiyon ka KHumar
naghma-o-nur se shab hai bedar
hama-tan-gosh hai zarra zarra
kaun hai jo hama-tan saz nahin
kis jagah dost ki aawaz nahin

(465) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shab-e-naghma written by Saeed Ul Zafar Chughtai at UrduPoint. Shab-e-naghma is one of the masterpieces written by Saeed Ul Zafar Chughtai. You can also find the complete poetry collection of Saeed Ul Zafar Chughtai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeed Ul Zafar Chughtai' above.

Shab-e-naghma is a widely read Urdu Nazam. If you like Shab-e-naghma, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.