Kahaniyan, Urdu Nazam By Saeeduddin

Kahaniyan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Saeeduddin. Kahaniyan comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Kahaniyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہانیاں

سعید الدین

یہاں ٹھیک اس جگہ

جہاں ایک چٹان ایک گہری کھائی پر جھکی ہوئی ہے

یہاں ایک چھتنار درخت تھا

وہ پرندے یہاں آتے تھے

جن کے بارے میں لوگوں میں

عجیب عجیب کہانیاں مشہور ہیں

اس چٹان کے پہلو میں

ایک آتش کدہ ہے

جس میں ہر وقت آگ روشن رہتی ہے

جس سے اس کے چاروں اور بیٹھے لوگوں کے چہرے

اس قدر روشن ہو جاتے ہیں

کہ اس چھتنار درخت پر بیٹھے پرندے

خوف زدہ ہو جاتے ہیں

لیکن اب یہاں کوئی چھتنار درخت نہیں

آتش کدہ سر ہو گیا

اور اس آگ سے روشن چہرے بھی

بجھ گئے

اب صرف کھائی کی طرف جھکی چٹان باقی رہ گئی ہے

یا وہ عجیب و غریب کہانیاں

جو کھائی اور جھکی چٹان کے گرد چکر لگا لگا کر

اب بری طرح اکتا چکی ہیں

سعید الدین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahaniyan

Saeeduddin

yahan Thik is jagah
jahan ek chaTan ek gahri khai par jhuki hui hai
yahan ek chhitnar daraKHt tha
wo parinde yahan aate the
jin ke bare mein logon mein
ajib ajib kahaniyan mashhur hain
is chaTan ke pahlu mein
ek aatish-kada hai
jis mein har waqt aag raushan rahti hai
jis se us ke chaaron or baiThe logon ke chehre
is qadar raushan ho jate hain
ki is chhitnar daraKHt par baiThe parinde
KHauf-zada ho jate hain
lekin ab yahan koi chhitnar daraKHt nahin
aatish-kada sar ho gaya
aur us aag se raushan chehre bhi
bujh gae
ab sirf khai ki taraf jhuki chaTan baqi rah gai hai
ya wo ajib-o-gharib kahaniyan
jo khai aur jhuki chaTan ke gird chakkar laga laga kar
ab buri tarah ukta chuki hain

(426) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahaniyan written by Saeeduddin at UrduPoint. Kahaniyan is one of the masterpieces written by Saeeduddin. You can also find the complete poetry collection of Saeeduddin by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeeduddin' above.

Kahaniyan is a widely read Urdu Nazam. If you like Kahaniyan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.