Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata, Urdu Ghazal By Saeedullah Shad

Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saeedullah Shad. Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کا شیرازہ منظم نہیں ہونے پاتا

سعید اللہ شاد

دل کا شیرازہ منظم نہیں ہونے پاتا

ناز خود رائی مگر کم نہیں ہونے پاتا

خود پرستی کی ہوس جس میں سما جاتی ہے

وہ مکرم وہ معظم نہیں ہونے پاتا

نظم ناسور ہوا جاتا ہے دھیرے دھیرے

کارگر کوئی بھی مرہم نہیں ہونے پاتا

ایک سا رہتا ہے یہ دل کے نہاں خانے میں

بیش و کم درد شب غم نہیں ہونے پاتا

کبھی دور اور کبھی قرب لگا رہتا ہے

مستقل رشتۂ باہم نہیں ہونے پاتا

وادئ دل میں چلا آتا ہے چپکے سے کوئی

کبھی تنہائی کا عالم نہیں ہونے پاتا

چوٹ لگ جائے انہیں گل سے تو گلشن روئے

مری بربادی کا ماتم نہیں ہونے پاتا

ایڑیاں مارنے والے ہیں زمانے میں بہت

کیوں رواں چشمۂ زمزم نہیں ہونے پاتا

دست و بازوئے خلافت کو بچا لیتے اگر

سرنگوں اپنا یہ پرچم نہیں ہونے پاتا

جو بھی آتا ہے ہوا دے کے چلا جاتا ہے

کوئی شعلہ کبھی شبنم نہیں ہونے پاتا

یاد رکھ شادؔ کبھی حق و صداقت کا چراغ

صرصر وقت سے مدھم نہیں ہونے پاتا

سعید اللہ شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata

Saeedullah Shad

dil ka shiraaza munazzam nahin hone pata
naz-e-KHud-rai magar kam nahin hone pata

KHud-parasti ki hawas jis mein sama jati hai
wo mukarram wo muazzam nahin hone pata

nazm nasur hua jata hai dhire dhire
kargar koi bhi marham nahin hone pata

ek sa rahta hai ye dil ke nihan-KHane mein
besh-o-kam dard-e-shab-e-gham nahin hone pata

kabhi dur aur kabhi qurb laga rahta hai
mustaqil rishta-e-baham nahin hone pata

wadi-e-dil mein chala aata hai chupke se koi
kabhi tanhai ka aalam nahin hone pata

choT lag jae unhen gul se to gulshan roe
meri barbaadi ka matam nahin hone pata

eDiyan marne wale hain zamane mein bahut
kyon rawan chashma-e-zamzam nahin hone pata

dast-o-bazu-e-KHilafat ko bacha lete agar
sar-nigun apna ye parcham nahin hone pata

jo bhi aata hai hawa de ke chala jata hai
koi shoala kabhi shabnam nahin hone pata

yaad rakh 'shad' kabhi haqq-o-sadaqat ka charagh
sarsar-e-waqt se maddham nahin hone pata

(273) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata written by Saeedullah Shad at UrduPoint. Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata is one of the masterpieces written by Saeedullah Shad. You can also find the complete poetry collection of Saeedullah Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeedullah Shad' above.

Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ka Shiraaza Munazzam Nahin Hone Pata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.