Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur, Urdu Ghazal By Saeedullah Shad

Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saeedullah Shad. Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جذبات میں ڈوبی ہوئی یہ رات ہے کچھ اور

سعید اللہ شاد

جذبات میں ڈوبی ہوئی یہ رات ہے کچھ اور

بے تاب نگاہوں کی ملاقات ہے کچھ اور

دیوانوں کے سر پر ہے ترا ریشمی سایہ

اے زلف سیہ فام تری بات ہے کچھ اور

تو مے سے بھرا جام بڑھاتا ہے سبھی کو

ساقی ترا انداز مساوات ہے کچھ اور

ہر عضو بدن سے وہ کرن پھوٹ رہی ہے

شرمائے قمر بھی کہ تری ذات ہے کچھ اور

پردیس تجھے چھوڑ کے جاتا نہ کبھی میں

اے جان وفا صورت حالات ہے کچھ اور

کھلتے ہیں یہاں راز ابد اور ازل کے

نظروں میں مری بزم خرافات ہے کچھ اور

مانا کہ سر بزم وہ کرتے ہیں تغافل

چہرے پہ مگر شوخئ جذبات ہے کچھ اور

بس حرف دعا کہتے ہیں ہوتی نہیں مقبول

جو قلب سے نکلے وہ مناجات ہے کچھ اور

رکھوں گا سلیقے سے نہاں خانۂ دل میں

میرے لئے زخموں کی یہ سوغات ہے کچھ اور

ساون کو بھی دیکھا ہے برستے ہوئے اے شادؔ

آنکھوں سے جو ہوتی ہے وہ برسات ہے کچھ اور

سعید اللہ شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur

Saeedullah Shad

jazbaat mein Dubi hui ye raat hai kuchh aur
be-tab nigahon ki mulaqat hai kuchh aur

diwanon ke sar par hai tera reshmi saya
ai zulf-e-siyah-fam teri baat hai kuchh aur

tu mai se bhara jam baDhata hai sabhi ko
saqi tera andaz-e-musawat hai kuchh aur

har uzw-e-badan se wo kiran phuT rahi hai
sharmae qamar bhi ki teri zat hai kuchh aur

pardes tujhe chhoD ke jata na kabhi main
ai jaan-e-wafa surat-e-haalat hai kuchh aur

khulte hain yahan raaz abad aur azal ke
nazron mein meri bazm-e-KHurafat hai kuchh aur

mana ki sar-e-bazm wo karte hain taghaful
chehre pe magar shoKHi-e-jazbaat hai kuchh aur

bas harf-e-dua kahte hain hoti nahin maqbul
jo qalb se nikle wo munajat hai kuchh aur

rakkhunga saliqe se nihan-KHana-e-dil mein
mere liye zaKHmon ki ye saughat hai kuchh aur

sawan ko bhi dekha hai baraste hue ai 'shad'
aankhon se jo hoti hai wo barsat hai kuchh aur

(241) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur written by Saeedullah Shad at UrduPoint. Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur is one of the masterpieces written by Saeedullah Shad. You can also find the complete poetry collection of Saeedullah Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeedullah Shad' above.

Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jazbaat Mein Dubi Hui Ye Raat Hai Kuchh Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.