Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بنے ہو خاک سے تو خاکساری ہو طبیعت میں

صفی اورنگ آبادی

بنے ہو خاک سے تو خاکساری ہو طبیعت میں

طبیعت ایسی بنتی ہے تو بنتی ہے محبت میں

بہائے جاؤ آنسو عمر بھر اس کی محبت میں

کہ ایسے لوگ موتی کے محل پاتے ہیں جنت میں

کہا حاضر میں کچھ حجت نہیں پھر مدعا پوچھا

ستم گر نے پلٹ دی بات اب حاضر ہے حجت میں

کسی سے اپنے حق میں کچھ سنا بھی ہے تو جانے دو

برا تو بادشاہ کو بھی کہا کرتے ہیں غیبت میں

محبت کی ذرا سی بات پر اتنے خفا کیوں ہو

ہوا کرتی ہیں آخر سیکڑوں باتیں محبت میں

نہیں لا سکتا ہر اک کوہ کن فرہاد کی قسمت

خدا بخشے بڑا انسان گزرا چھوٹی امت میں

تری ہر ایک تصویر اک ادائے خاص رکھتی ہے

کرے کیا فرق اب کوئی ضرورت اور زینت میں

یہ کیا سائل کے منہ پر توڑ کر ٹکڑا سا رکھ دینا

ارے بندے خدا کو منہ دکھانا ہے قیامت میں

جو بدلے دوست کا بھیس اس کو دشمن کس طرح جانوں

گیا حضرت کلیم اللہ کا نقال جنت میں

محبت بے اطاعت ایک دھوکہ ہے محبت کا

محبت کا جو دعویٰ ہے تو کوشش کر اطاعت میں

محبت اور محنت کوہ کن نے یہ بھی کی وہ بھی

الٹ ہے ایک نقطے کی محبت اور محنت میں

صفیؔ دنیا میں جینے کا مزہ کچھ بھی نہیں پایا

ہماری عمر کچھ غفلت میں گزری کچھ ندامت میں

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein

Safi Aurangabadi

bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein
tabiat aisi banti hai to banti hai mohabbat mein

bahae jao aansu umr-bhar us ki mohabbat mein
ki aise log moti ke mahal pate hain jannat mein

kaha hazir mein kuchh hujjat nahin phir muddaa puchha
sitamgar ne palaT di baat ab hazir hai hujjat mein

kisi se apne haq mein kuchh suna bhi hai to jaane do
bura to baadshah ko bhi kaha karte hain ghibat mein

mohabbat ki zara si baat par itne KHafa kyun ho
hua karti hain aaKHir saikDon baaten mohabbat mein

nahin la sakta har ek kohkan farhad ki qismat
KHuda baKHshe baDa insan guzra chhoTi ummat mein

teri har ek taswir ek ada-e-KHas rakhti hai
kare kya farq ab koi zarurat aur zinat mein

ye kya sail ke munh par toD kar TukDa sa rakh dena
are bande KHuda ko munh dikhana hai qayamat mein

jo badle dost ka bhes us ko dushman kis tarah jaanon
gaya hazrat kalim-ullah ka naqqal jannat mein

mohabbat be-itaat ek dhoka hai mohabbat ka
mohabbat ka jo dawa hai to koshish kar itaat mein

mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhi ki wo bhi
ulaT hai ek nuqte ki mohabbat aur mehnat mein

safi' duniya mein jine ka maza kuchh bhi nahin paya
hamari umr kuchh ghaflat mein guzri kuchh nadamat mein

(592) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bane Ho KHak Se To KHaksari Ho Tabiat Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.