Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte, Urdu Ghazal By Saghar Nizami

Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saghar Nizami. Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم آنکھوں سے بھی عرض تمنا نہیں کرتے

ساغر نظامی

ہم آنکھوں سے بھی عرض تمنا نہیں کرتے

مبہم سا اشارہ بھی گوارا نہیں کرتے

حاصل ہے جنہیں دولت صد آبلہ پائی

وہ شکوۂ بے رنگئ صحرا نہیں کرتے

صد شکر کہ دل میں ابھی اک قطرۂ خوں ہے

ہم شکوۂ بے رنگئ دنیا نہیں کرتے

مقصود عبادت ہے فقط دید نہیں ہے

ہم پوجتے ہیں آپ کو دیکھا نہیں کرتے

کافی ہے ترا نقش قدم چاہے جہاں ہو

ہم پیروئ دیر و کلیسا نہیں کرتے

سجدہ بھی ہے منجملۂ اسباب نمائش

جو خود سے گزر جاتے ہیں سجدا نہیں کرتے

جن کو ہے تری ذات سے یک گونہ تعلق

وہ تیرے تغافل کی بھی پروا نہیں کرتے

یہ لمحۂ حاضر تو ہے کونین کا حاصل

ہم حال کو نذر غم فردا نہیں کرتے

ہر آگ کو پہلو میں چھپا لیتے ہیں ساغرؔ

ہم تندیٔ صہبا سے بھی پگھلا نہیں کرتے

ساغر نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte

Saghar Nizami

hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte
mubham sa ishaara bhi gawara nahin karte

hasil hai jinhen daulat-e-sad-abla-pai
wo shikwa-e-be-rangi-e-sahra nahin karte

sad-shukr ki dil mein abhi ek qatra-e-KHun hai
hum shikwa-e-be-rangi-e-duniya nahin karte

maqsud ibaadat hai faqat did nahin hai
hum pujte hain aap ko dekha nahin karte

kafi hai tera naqsh-e-qadam chahe jahan ho
hum pairwi-e-dair-o-kalisa nahin karte

sajda bhi hai minjumla-e-asbab-e-numaish
jo KHud se guzar jate hain sajda nahin karte

jin ko hai teri zat se yak-guna talluq
wo tere taghaful ki bhi parwa nahin karte

ye lamha-e-hazir to hai kaunain ka hasil
hum haal ko nazr-e-gham-e-farda nahin karte

har aag ko pahlu mein chhupa lete hain 'saghar'
hum tundi-e-sahba se bhi pighla nahin karte

(493) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte written by Saghar Nizami at UrduPoint. Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte is one of the masterpieces written by Saghar Nizami. You can also find the complete poetry collection of Saghar Nizami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saghar Nizami' above.

Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Aankhon Se Bhi Arz-e-tamanna Nahin Karte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.