Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun, Urdu Ghazal By Sahba Akhtar

Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahba Akhtar. Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جسے لکھ لکھ کے خود بھی رو پڑا ہوں

صہبا اختر

جسے لکھ لکھ کے خود بھی رو پڑا ہوں

میں اپنی روح کا وہ مرثیہ ہوں

مری تنہائیوں کو کون سمجھے

میں سایہ ہوں مگر خود سے جدا ہوں

سمجھتا ہوں نوا کی شعلگی کو

سکوت حرف سے لمس آشنا ہوں

کسی سے کیا ملوں اپنا سمجھ کر

میں اپنے واسطے بھی نارسا ہوں

کوئی سورج ہے فن کا تو مجھے کیا

میں اپنی روشنی میں سوچتا ہوں

مرا صحرا ہے میری خود شناسی

میں اپنی خامشی میں گونجتا ہوں

مجھے یہ جستجو رکھتی ہے حیراں

کہ میں صہبا ہوں یا صہبا نما ہوں

صہبا اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun

Sahba Akhtar

jise likh likh ke KHud bhi ro paDa hun
main apni ruh ka wo marsiya hun

meri tanhaiyon ko kaun samjhe
main saya hun magar KHud se juda hun

samajhta hun nawa ki shoalagi ko
sukut-e-harf se lams-e-ashna hun

kisi se kiya milun apna samajh kar
main apne waste bhi na-rasa hun

koi suraj hai fan ka to mujhe kya
main apni raushni mein sochta hun

mera sahra hai meri KHud-shanasi
main apni KHamushi mein gunjta hun

mujhe ye justuju rakhti hai hairan
ki main sahba hun ya sahba-numa hun

(464) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun written by Sahba Akhtar at UrduPoint. Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun is one of the masterpieces written by Sahba Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sahba Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahba Akhtar' above.

Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jise Likh Likh Ke KHud Bhi Ro PaDa Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.