Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai, Urdu Ghazal By Sahil Ajmeri

Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahil Ajmeri. Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چوری کیسی بھی ہو یہ لت بھی بری ہوتی ہے

ساحل اجمیری

چوری کیسی بھی ہو یہ لت بھی بری ہوتی ہے

دل چرا لینے کی عادت بھی بری ہوتی ہے

اچھی عادت کا نفع لوگ اٹھا لیتے ہیں

حد سے زیادہ تو شرافت بھی بری ہوتی ہے

یہ زمانہ بڑا نازک ہے سنبھل کر چلئے

جان من اتنی نزاکت بھی بری ہوتی ہے

خوب شہہ دیتی ہے یہ اور گنہ کرنے کو

کیا خدا آپ کی رحمت بھی بری ہوتی ہے

دلبروں کو ہے یہ ملنے کا سنہری موقع

کون کہتا ہے قیامت بھی بری ہوتی ہے

پیار کی سوئی بھی چبھتی ہے رفو کرنے میں

چاک دل کی تو مرمت بھی بری ہوتی ہے

پرسش حال کو آئے ہیں وہ غم دے کے مجھے

کیسے کہہ دیں کہ عیادت بھی بری ہوتی ہے

کونا ہاتھ آئے تو پلو کو پکڑ لیتے ہیں لوگ

تھوڑی انجانی اجازت بھی بری ہوتی ہے

آنچ آئے جو اصولوں پہ تو سودا کیسا

یوں اصولوں کی تجارت بھی بری ہوتی ہے

اس نے ساحلؔ تمہیں دیوانہ بنا رکھا ہے

ہائے کمبخت محبت بھی بری ہوتی ہے

ساحل اجمیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai

Sahil Ajmeri

chori kaisi bhi ho ye lat bhi buri hoti hai
dil chura lene ki aadat bhi buri hoti hai

achchhi aadat ka nafa log uTha lete hain
had se ziyaada to sharafat bhi buri hoti hai

ye zamana baDa nazuk hai sambhal kar chaliye
jaan-e-man itni nazakat bhi buri hoti hai

KHub shah deti hai ye aur gunah karne ko
kya KHuda aap ki rahmat bhi buri hoti hai

dilbaron ko hai ye milne ka sunahri mauqa
kaun kahta hai qayamat bhi buri hoti hai

pyar ki sui bhi chubhti hai rafu karne mein
chaak-e-dil ki to marammat bhi buri hoti hai

pursish-e-haal ko aae hain wo gham de ke mujhe
kaise kah den ki ayaadat bhi buri hoti hai

kona hath aae to pallu ko pakaD lete hain log
thoDi anjaani ijazat bhi buri hoti hai

aanch aae jo usulon pe to sauda kaisa
yun usulon ki tijarat bhi buri hoti hai

us ne 'sahil' tumhein diwana bana rakkha hai
hae kambaKHt mohabbat bhi buri hoti hai

(571) ووٹ وصول ہوئے

You can read Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai written by Sahil Ajmeri at UrduPoint. Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai is one of the masterpieces written by Sahil Ajmeri. You can also find the complete poetry collection of Sahil Ajmeri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahil Ajmeri' above.

Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chori Kaisi Bhi Ho Ye Lat Bhi Buri Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.