Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi, Urdu Ghazal By Sahir Shevi

Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Shevi. Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فکر زر میں بلکتا ہوا آدمی

ساحر شیوی

فکر زر میں بلکتا ہوا آدمی

اب کہاں رہ گیا کام کا آدمی

زندگی بھی حقیقت میں اک جرم ہے

عمر بھر کاٹتا ہے سزا آدمی

کون اپنائے ماضی کی پرچھائیاں

کون پیدا کرے اب نیا آدمی

خوبصورت سی اس پر کہانی لکھو

گاؤں کی گوریاں شہر کا آدمی

تھے بہت لوگ محفل میں بیٹھے ہوئے

ان میں مشکل سے اک مل گیا آدمی

یہ کمال خودی ہی کہا جائے گا

خود ہی دنیا بنانے لگا آدمی

تم بھی ساحرؔ ذرا اس سے بچ کر رہو

گاؤں سے ہے الگ شہر کا آدمی

ساحر شیوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi

Sahir Shevi

fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi
ab kahan rah gaya kaam ka aadmi

zindagi bhi haqiqat mein ek jurm hai
umr bhar kaTta hai saza aadmi

kaun apnae mazi ki parchhaiyan
kaun paida kare ab naya aadmi

KHub-surat si is par kahani likho
ganw ki goriyan shahr ka aadmi

the bahut log mahfil mein baiThe hue
un mein mushkil se ek mil gaya aadmi

ye kamal-e-KHudi hi kaha jaega
KHud hi duniya banane laga aadmi

tum bhi 'sahir' zara is se bach kar raho
ganw se hai alag shahr ka aadmi

(450) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi written by Sahir Shevi at UrduPoint. Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi is one of the masterpieces written by Sahir Shevi. You can also find the complete poetry collection of Sahir Shevi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Shevi' above.

Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fikr-e-zar Mein Bilakta Hua Aadmi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.