Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche, Urdu Ghazal By Sahir Siyalkoti

Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Siyalkoti. Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ نقاب رخ اٹھا کر کبھی بام تک نہ پہنچے

ساحر سیالکوٹی

وہ نقاب رخ اٹھا کر کبھی بام تک نہ پہنچے

وہ کرم بھی کیا کرم ہے جو عوام تک نہ پہنچے

یہ شباب اک بلا ہے میری تجھ سے التجا ہے

دل زار کوئی تہمت مرے نام تک نہ پہنچے

مری ہر خوشی ہے اے دل مرے غم کی اک نشانی

وہ سحر سحر نہیں ہے کہ جو شام تک نہ پہنچے

وہ طیور خاک سمجھے پر و بال کی حقیقت

جو نکل کر آشیاں سے کبھی دام تک نہ پہنچے

ترے پاسباں کو مجھ سے کوئی خاص ہے عداوت

میں پیام تجھ کو بھیجوں تو سلام تک نہ پہنچے

تجھے مرغ دل مبارک یہ تلاش دانہ لیکن

یہ تلاش رفتہ رفتہ کہیں دام تک نہ پہنچے

رہے کیوں نہ ان سے شکوہ مجھے کم نگاہیوں کا

مرا خط پڑھا بھی لیکن مرے نام تک نہ پہنچے

یہ ہے راز عشق ساحرؔ اسے کیوں چھپا رہے ہو

یہ وہ بات ہی نہیں ہے جو عوام تک نہ پہنچے

ساحر سیالکوٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche

Sahir Siyalkoti

wo naqab-e-ruKH uTha kar kabhi baam tak na pahunche
wo karam bhi kya karam hai jo awam tak na pahunche

ye shabab ek bala hai meri tujh se iltija hai
dil-e-zar koi tohmat mere nam tak na pahunche

meri har KHushi hai ai dil mere gham ki ek nishani
wo sahar sahar nahin hai ki jo sham tak na pahunche

wo tuyur KHak samjhe par-o-baal ki haqiqat
jo nikal kar aashiyan se kabhi dam tak na pahunche

tere pasban ko mujh se koi KHas hai adawat
main payam tujh ko bhejun to salam tak na pahunche

tujhe murgh-e-dil mubarak ye talash-e-dana lekin
ye talash rafta rafta kahin dam tak na pahunche

rahe kyon na un se shikwa mujhe kam-nigahiyon ka
mera KHat paDha bhi lekin mere nam tak na pahunche

ye hai raaz-e-ishq 'sahir' ise kyon chhupa rahe ho
ye wo baat hi nahin hai jo awam tak na pahunche

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche written by Sahir Siyalkoti at UrduPoint. Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche is one of the masterpieces written by Sahir Siyalkoti. You can also find the complete poetry collection of Sahir Siyalkoti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Siyalkoti' above.

Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Naqab-e-ruKH UTha Kar Kabhi Baam Tak Na Pahunche, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.