Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye, Urdu Ghazal By Sahir Siyalkoti

Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Siyalkoti. Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں یہ مژدۂ راحت کسی جواں کے لئے

ساحر سیالکوٹی

نہیں یہ مژدۂ راحت کسی جواں کے لئے

شباب کا تو زمانہ ہے امتحاں کے لئے

بتا نہ راز محبت کسی کو اے ناداں

بہت سے اور بھی ہیں راز رازداں کے لئے

جناب شیخ نے مانگی شراب یہ کہہ کر

ذرا سی چاہئے اک خاص مہرباں کے لئے

خیال برق سے ہم نے جلا دئے خود ہی

وہ چار تنکے جو رکھے تھے آشیاں کے لئے

ہماری وجہ سے وہ بھی ہے ان کے زیر عتاب

یہ ایک طرفہ مصیبت ہے راز داں کے لئے

خدا کی شان وہ فتنے اٹھا رہی ہے زمیں

بنے ہیں باعث حیرت جو آسماں کے لئے

قفس بھی راس ہے مجھ کو یہ بات تو ہے غلط

درست یہ ہے کہ جیتا ہوں آشیاں کے لئے

کسی کو دیر کسی کو حرم نہیں ملتا

بھٹک رہے ہیں مسافر کہاں کہاں کے لئے

ترے خرام نے محشر کا راز کھول دیا

بنا ہوا تھا معما یہ اک جہاں کے لئے

زمین فیض اٹھاتی ہے خاکساری کا

بنے تھے ورنہ مہ و مہر آسماں کے لئے

زباں پہ ذکر محبت کا آئے کیوں ساحرؔ

یہ چیز دل کے لئے ہے نہیں زباں کے لئے

ساحر سیالکوٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye

Sahir Siyalkoti

nahin ye muzhda-e-rahat kisi jawan ke liye
shabab ka to zamana hai imtihan ke liye

bata na raaz-e-mohabbat kisi ko ai nadan
bahut se aur bhi hain raaz raaz-dan ke liye

janab-e-shaiKH ne mangi sharab ye kah kar
zara si chahiye ek KHas mehrban ke liye

KHayal-e-barq se hum ne jala diye KHud hi
wo chaar tinke jo rakkhe the aashiyan ke liye

hamari wajh se wo bhi hai un ke zer-e-itab
ye ek turfa musibat hai raazdan ke liye

KHuda ki shan wo fitne uTha rahi hai zamin
bane hain bais-e-hairat jo aasman ke liye

qafas bhi ras hai mujh ko ye baat to hai ghalat
durust ye hai ki jita hun aashiyan ke liye

kisi ko dair kisi ko haram nahin milta
bhaTak rahe hain musafir kahan kahan ke liye

tere KHiram ne mahshar ka raaz khol diya
bana hua tha muamma ye ek jahan ke liye

zamin faiz uThati hai KHaksari ka
bane the warna mah-o-mehr aasman ke liye

zaban pe zikr mohabbat ka aae kyun 'sahir'
ye chiz dil ke liye hai nahin zaban ke liye

(509) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye written by Sahir Siyalkoti at UrduPoint. Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye is one of the masterpieces written by Sahir Siyalkoti. You can also find the complete poetry collection of Sahir Siyalkoti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Siyalkoti' above.

Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Ye Muzhda-e-rahat Kisi Jawan Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.