Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se, Urdu Ghazal By Sajid Siddiqi Lakhnavi

Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajid Siddiqi Lakhnavi. Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حجابات اٹھ رہے ہیں درمیاں سے

ساجد صدیقی لکھنوی

حجابات اٹھ رہے ہیں درمیاں سے

زمیں ٹکرا نہ جائے آسماں سے

نکالا کس خطا پر گلستاں سے

ہمیں یہ پوچھنا ہے باغباں سے

وہیں جانا ہے آئے ہیں جہاں سے

ہیں واقف منزل عمر رواں سے

بہار آنے کی مانگی تھیں دعائیں

بہار آئی مگر بد تر خزاں سے

جو ہیں نا آشنائے نظم گلشن

انہیں کو فائدے ہیں گلستاں سے

ابھی مردہ نہیں ذوق اسیری

قفس کا سامنا ہے آشیاں سے

جہاں کانٹوں میں الجھے اپنا دامن

بیاباں اچھا ایسے گلستاں سے

غموں ہی سے خوشی ہوتی ہے پیدا ہے

بہاریں بنتی ہیں دور خزاں سے

سہارا لوں اگر دیوانگی کا

گزر جاؤں حد کون و مکاں سے

نمایاں ہے وہی رجعت‌ پسندی

نظام زندگی بدلا کہاں سے

لپٹ جاؤں گا میں دامن سے ان کے

سبق سیکھا ہے خاک آستاں سے

بھٹکتا پھر رہا ہوں اس طرح میں

کہ جیسے چھٹ گیا ہوں کارواں سے

چمن میں پھر بنائیں گے نشیمن

ہمیں ضد ہو گئی ہے آسماں سے

وطن دشمن انہیں کیوں کر نہ سمجھیں

جنہیں ہے دشمنی اردو زباں سے

وہی ہے باعث تکلیف ساجدؔ

ملیں تھیں راحتیں جس گلستاں سے

ساجد صدیقی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se

Sajid Siddiqi Lakhnavi

hijabaat uTh rahe hain darmiyan se
zamin Takra na jae aasman se

nikala kis KHata par gulsitan se
hamein ye puchhna hai baghban se

wahin jaana hai aae hain jahan se
hain waqif manzil-e-umr-e-rawan se

bahaar aane ki mangi thin duaen
bahaar aai magar bad-tar KHizan se

jo hain na-ashna-e-nazm-e-gulshan
unhin ko faede hain gulistan se

abhi murda nahin zauq-e-asiri
qafas ka samna hai aashiyan se

jahan kanTon mein uljhe apna daman
bayaban achchha aise gulistan se

ghamon hi se KHushi hoti hai paida hai
bahaaren banti hain daur-e-KHizan se

sahaara lun agar diwangi ka
guzar jaun had-e-kaun-o-makan se

numayan hai wahi rajat-pasandi
nizam-e-zindagi badla kahan se

lipaT jaunga main daman se un ke
sabaq sikha hai KHak-e-astan se

bhaTakta phir raha hun is tarah main
ki jaise chhuT gaya hun karwan se

chaman mein phir banaenge nasheman
hamein zid ho gai hai aasman se

watan dushman inhen kyun kar na samjhen
jinhen hai dushmani urdu zaban se

wahi hai bais-e-taklif 'sajid'
milin thin rahaten jis gulsitan se

(346) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se written by Sajid Siddiqi Lakhnavi at UrduPoint. Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se is one of the masterpieces written by Sajid Siddiqi Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sajid Siddiqi Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajid Siddiqi Lakhnavi' above.

Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hijabaat UTh Rahe Hain Darmiyan Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.