Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اندھیرے دن کی سفارت کو آئے ہیں اب کے

سجاد باقر رضوی

اندھیرے دن کی سفارت کو آئے ہیں اب کے

ہیں کتنی روشنیاں اشتہار میں شب کے

یہاں تو دیکھ لیے ہم نے حوصلے سب کے

ملے نہ دوست نہ دشمن ہی اپنے منصب کے

بس ایک بات پہ ناکامیوں نے گھیر لیا

زباں سے آئے لبوں تک نہ حرف مطلب کے

جو لب کشادہ تھے وہ مدعی بنے لیکن

جو دل کشادہ تھے وہ کام آ گئے سب کے

اک آہ خشک ہی اپنے نصیب میں نکلی

بہت ہی شور سنے جذبۂ لبالب کے

جدائیاں تو مقدر ہیں لیکن اک غم ہجر

عجیب پھول سے ساتھی بکھر گئے اب کے

بھٹک رہا ہے دیار خرد میں کیوں غم دل

گھروں کو لوٹ چکے سارے با وفا کب کے

زمین سخت میں لفظوں کے گل کھلائے ہیں

غزل کہی تو ہوئے قائل اپنے کرتب کے

ہزار اس نے بھی چکر دیے مگر باقرؔ

رہے نہ ہم بھی کبھی آسمان سے دب کے

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke

Sajjad Baqar Rizvi

andhere din ki safarat ko aae hain ab ke
hain kitni raushaniyan ishtihaar mein shab ke

yahan to dekh liye hum ne hausle sab ke
mile na dost na dushman hi apne mansab ke

bas ek baat pe nakaamiyon ne gher liya
zaban se aae labon tak na harf matlab ke

jo lab-kushada the wo muddai bane lekin
jo dil-kushada the wo kaam aa gae sab ke

ek aah-e-KHushk hi apne nasib mein nikli
bahut hi shor sune jazba-e-laba-lab ke

judaiyan to muqaddar hain lekin ek gham-e-hijr
ajib phul se sathi bikhar gae ab ke

bhaTak raha hai dayar-e-KHirad mein kyun gham-e-dil
gharon ko lauT chuke sare ba-wafa kab ke

zamin-e-saKHt mein lafzon ke gul khilae hain
ghazal kahi to hue qail apne kartab ke

hazar us ne bhi chakkar diye magar 'baqar'
rahe na hum bhi kabhi aasman se dab ke

(375) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Andhere Din Ki Safarat Ko Aae Hain Ab Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.