Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai, Urdu Ghazal By Salahuddin Nadeem

Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salahuddin Nadeem. Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کو دیکھو وہی آوارہ و سودائی ہے

صلاح الدین ندیم

جس کو دیکھو وہی آوارہ و سودائی ہے

زندگی ہے کہ کسی دشت کی پہنائی ہے

شعلۂ غم کو رگ جاں میں کیا جذب تو پھر

ہر نظر صورت خورشید نظر آئی ہے

ڈوب کر دل میں ابھرتی ہے کوئی موج خیال

ابر چھایا ہے کبھی برق سی لہرائی ہے

گیت کے روپ میں پابند بہاروں کی فضا

چمن دل میں مرے اور نکھر آئی ہے

لذت عشق سے بھرپور غم دل کی صدا

پردۂ شب میں کئی چاند اڑا لائی ہے

شبنمی آنکھ سے دیکھو تو چمن کی جانب

سینۂ گل میں شراروں نے نمو پائی ہے

سوچتا ہوں کہ زمانے سے نکل کر آگے

پھر وہی میں ہوں وہی گوشۂ تنہائی ہے

اپنے ہونے کی حقیقت کا یقیں ہے لیکن

آنکھ کیوں جلوۂ ہستی کی تمنائی ہے

یہ عجب سلسلۂ قید نظر ہے کہ ندیمؔ

ہر نظر اپنی ہی دنیا کی تماشائی ہے

صلاح الدین ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai

Salahuddin Nadeem

jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
zindagi hai ki kisi dasht ki pahnai hai

shoala-e-gham ko rag-e-jaan mein kiya jazb to phir
har nazar surat-e-KHurshid nazar aai hai

Dub kar dil mein ubharti hai koi mauj-e-KHayal
abr chhaya hai kabhi barq si lahrai hai

git ke rup mein paband bahaaron ki faza
chaman-e-dil mein mere aur nikhar aai hai

lazzat-e-ishq se bharpur gham-e-dil ki sada
parda-e-shab mein kai chand uDa lai hai

shabnami aankh se dekho to chaman ki jaanib
sina-e-gul mein shararon ne numu pai hai

sochta hun ki zamane se nikal kar aage
phir wahi main hun wahi gosha-e-tanhai hai

apne hone ki haqiqat ka yaqin hai lekin
aankh kyun jalwa-e-hasti ki tamannai hai

ye ajab silsila-e-qaid-e-nazar hai ki 'nadim'
har nazar apni hi duniya ki tamashai hai

(392) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai written by Salahuddin Nadeem at UrduPoint. Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai is one of the masterpieces written by Salahuddin Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Nadeem' above.

Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ko Dekho Wahi Aawara-o-saudai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.