Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho, Urdu Ghazal By Salahuddin Nadeem

Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salahuddin Nadeem. Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اوجھل ہوں نگاہوں سے مگر دل میں پڑے ہو

صلاح الدین ندیم

اوجھل ہوں نگاہوں سے مگر دل میں پڑے ہو

لیلیٰ کی طرح کون سے محمل میں پڑے ہو

در پردہ سہی سحر نظارہ کے اثر سے

سو طرح سے تم دیدۂ غافل میں پڑے ہو

کھلنے لگے اسرار وفا دیدہ و دل پر

جس دن سے غم ہجر کی مشکل میں پڑے ہو

آوارگئ دل بھی گئی قید وفا بھی

جس دن سے محبت کے سلاسل میں پڑے ہو

ہر لحظہ بدلتی ہوئی دنیا کے مکینو

کیا جانئے تم کون سی منزل میں پڑے ہو

کس جرم کی تعذیر یہ کس ڈھب کی سزا ہے

لذت کش تنہائی ہو محفل میں پڑے ہو

کس طرح نہ فریاد کا پھیلائیں یہ دامن

تم گل ہو کہ ہر خواب عنادل میں پڑے ہو

منزل کی طلب ساتھ ہی سرگرم سفر ہے

دریا ہو مگر حلقۂ ساحل میں پڑے ہو

ہر شے میں نظر آتا ہے خود اپنا ہی چہرہ

آئینے کے تم جیسے مقابل میں پڑے ہو

کہتا ہے ندیمؔ آج مجھے دیدۂ بے دار

تم برق ہو اور خرمن حاصل میں پڑے ہو

صلاح الدین ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho

Salahuddin Nadeem

ojhal hun nigahon se magar dil mein paDe ho
laila ki tarah kaun se mahmil mein paDe ho

dar-parda sahi sehr-e-nazara ke asar se
sau tarah se tum dida-e-ghafil mein paDe ho

khulne lage asrar-e-wafa dida-o-dil par
jis din se gham-e-hijr ki mushkil mein paDe ho

aawargi-e-dil bhi gai qaid-e-wafa bhi
jis din se mohabbat ke salasil mein paDe ho

har lahza badalti hui duniya ke makino
kya jaaniye tum kaun si manzil mein paDe ho

kis jurm ki tazir ye kis Dhab ki saza hai
lazzat-kash-e-tanhai ho mahfil mein paDe ho

kis tarah na fariyaad ka phailaen ye daman
tum gul ho ki har KHwab-e-anadil mein paDe ho

manzil ki talab sath hi sargarm-e-safar hai
dariya ho magar halqa-e-sahil mein paDe ho

har shai mein nazar aata hai KHud apna hi chehra
aaine ke tum jaise muqabil mein paDe ho

kahta hai 'nadim' aaj mujhe dida-e-bedar
tum barq ho aur KHirman-e-hasil mein paDe ho

(349) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho written by Salahuddin Nadeem at UrduPoint. Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho is one of the masterpieces written by Salahuddin Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Nadeem' above.

Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein PaDe Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.