Aurat KHuda Ka AKHbar Hai, Urdu Nazam By Salahuddin Parvez

Aurat KHuda Ka AKHbar Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Salahuddin Parvez. Aurat KHuda Ka AKHbar Hai comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Aurat KHuda Ka AKHbar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عورت خدا کا اخبار ہے

صلاح الدین پرویز

آج سے صرف کچھ سال پہلے کی یہ بات ہے

آسمان جب زمیں پر نہیں تھا

خدا ایک اخبار تھا اور اخبار میں

توتلی عینکوں کے برے شہر کا ذکر تھا

اور میں نے کہا تھا

اگر میری ناپاک آنکھوں کی الماریوں میں کبھی

دودھ کا جام دیکھو تو آواز دینا

چلا آؤں گا

میں خطرناک چہروں کا دشمن نہیں ہوں

آج کی رات عورت ہے جس نے مجھے اپنا بیٹا کہا ہے

الگنی پر پڑے سارے کپڑوں پر اک دھوپ سی جم گئی ہے

اور سبھی کالے بستر سے لپٹی ہوئی تتلیاں اڑ گئی ہیں

آج کی رات عورت ہے

جس کے بدن میں مرا درمیانہ بدن

ڈولتا ہے ہواؤں کی سنگت لیے

آج کی رات

ہنستے ہوئے کیوں نہ پکڑیں خدا کو

خدا ایک اخبار

جس میں سبھی توتلی عینکوں کے

برے شہر کا ذکر تھا پر وہ عورت

جو اک شہر سے کم نہیں ہے

مجھے اپنے سینے کی بھاری چٹانوں سے ٹکرا کے

ہر ایک سے کہہ رہی ہے

اگر میری ناپاک آنکھوں کی الماریوں میں کبھی

دودھ کا جام دیکھو تو آواز دینا

چلی آؤں گی

میں خطرناک چہروں کی دشمن نہیں ہوں

صلاح الدین پرویز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aurat KHuda Ka AKHbar Hai

Salahuddin Parvez

aaj se sirf kuchh sal pahle ki ye baat hai
aasman jab zamin par nahin tha
KHuda ek aKHbar tha aur aKHbar mein
totli ainakon ke bure shahr ka zikr tha
aur main ne kaha tha
agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi
dudh ka jam dekho to aawaz dena
chala aaunga
main KHatarnak chehron ka dushman nahin hun
aaj ki raat aurat hai jis ne mujhe apna beTa kaha hai
algani par paDe sare kapDon par ek dhup si jam gai hai
aur sabhi kale bistar se lipTi hui titliyan uD gai hain
aaj ki raat aurat hai
jis ke badan mein mera darmiyana badan
Dolta hai hawaon ki sangat liye
aaj ki raat
hanste hue kyun na pakDen KHuda ko
KHuda ek aKHbar
jis mein sabhi totli ainakon ke
bure shahr ka zikr tha par wo aurat
jo ek shahr se kam nahin hai
mujhe apne sine ki bhaari chaTanon se Takra ke
har ek se kah rahi hai
agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi
dudh ka jam dekho to aawaz dena
chali aaungi
main KHatarnak chehron ki dushman nahin hun

(677) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aurat KHuda Ka AKHbar Hai written by Salahuddin Parvez at UrduPoint. Aurat KHuda Ka AKHbar Hai is one of the masterpieces written by Salahuddin Parvez. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Parvez by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Parvez' above.

Aurat KHuda Ka AKHbar Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Aurat KHuda Ka AKHbar Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.