Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai, Urdu Ghazal By Salma Hijab

Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salma Hijab. Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آرزوئے عیش کوشی اب تو اک آزار ہے

سلمیٰ حجاب

آرزوئے عیش کوشی اب تو اک آزار ہے

گھر کے باہر گھر کے اندر ہر طرف بازار ہے

منتظر ہے ایک ساحل اور شکستہ سا وجود

بیچ دریا میں کھڑا ہے آر ہے نہ پار ہے

سر جھکایا جب بھی میں نے وہ پشیماں ہو گیا

ہار میری جیت ہے اور جیت اس کی ہار ہے

بڑھ گئی اس کی کشش جب در قفس کے وا ہوئے

چھوڑ دینا اب تو اس کو اور بھی دشوار ہے

ڈوب جائیں گے جزیرے کس کو اس کی فکر ہے

بس پگھلتی برف ہے اور گرمئ بازار ہے

درہم و دینار سے اب روشنی ہوتی نہیں

گھر کی چوکھٹ کے لئے گھر کا دیا درکار ہے

سلمیٰ حجاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai

Salma Hijab

aarzu-e-aish-koshi ab to ek aazar hai
ghar ke bahar ghar ke andar har taraf bazar hai

muntazir hai ek sahil aur shikasta sa wajud
bich dariya mein khaDa hai aar hai na par hai

sar jhukaya jab bhi main ne wo pasheman ho gaya
haar meri jit hai aur jit us ki haar hai

baDh gai us ki kashish jab dar qafas ke wa hue
chhoD dena ab to us ko aur bhi dushwar hai

Dub jaenge jazire kis ko is ki fikr hai
bas pighalti barf hai aur garmi-e-bazar hai

dirham-o-dinar se ab raushni hoti nahin
ghar ki chaukhaT ke liye ghar ka diya darkar hai

(467) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai written by Salma Hijab at UrduPoint. Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai is one of the masterpieces written by Salma Hijab. You can also find the complete poetry collection of Salma Hijab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salma Hijab' above.

Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aarzu-e-aish-koshi Ab To Ek Aazar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.