Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai, Urdu Nazam By Sameena Tabassum

Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sameena Tabassum. Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عمر اک نا قابل تردید سچائی ہے

ثمینہ تبسم

بہت پہلے میں اپنی ماں کی باتیں سن کے

ان پہ خوب ہنستی تھی

کہ امی آپ سارا دن کبھی ٹانگوں کبھی بازو

کبھی سر یا کمر کے درد کے قصے سناتی ہیں

الرجی کے کئی حملے دوائیوں کے کئی شکوے

ہمیشہ ہی بتاتی ہیں

ہمیشہ شہر کے سارے کلینک ڈاکٹر نرسیں

کہاں پہ ہیں یا کیسے ہیں

سبھی کچھ جانتی ہیں

ان کی باتیں بھی سناتی ہیں

کبھی تو اور کوئی بات بھی مجھ سے کیا کیجے

تو امی ہنس کے کہتی تھیں

ثمینہؔ عمر کے اس دور میں اور کوئی بات باقی ہی نہیں رہتی

اور اب میں خود پہ ہنستی ہوں

مرے ٹاپک بدلتے جا رہے ہیں

میرے اندر عمر کی دیمک

کئی برسوں سے مجھ کو کھا رہی ہے

اور میں چاہوں بھی تو کچھ کر نہیں سکتی

مجھے جب لوگ کہتے ہیں

ثمینہؔ آپ تو اس عمر میں بھی

تو میں اب خود پہ ہنستی ہوں

میں ہنستی ہوں

میں ہنستی ہوں

ثمینہ تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai

Sameena Tabassum

bahut pahle mein apni man ki baaten sun ke
un pe KHub hansti thi
ki ammi aap sara din kabhi Tangon kabhi bazu
kabhi sar ya kamar ke dard ke qisse sunati hain
allergy ke kai hamle dawaiyon ke kai shikwe
hamesha hi batati hain
hamesha shahr ke sare clinic doctor nursen
kahan pe hain ya kaise hain
sabhi kuchh jaanti hain
un ki baaten bhi sunati hain
kabhi to aur koi baat bhi mujh se kiya kije
to ammi hans ke kahti thin
'samina' umr ke is daur mein aur koi baat baqi hi nahin rahti
aur ab main KHud pe hansti hun
mere topic badalte ja rahe hain
mere andar umr ki dimak
kai barson se mujh ko kha rahi hai
aur main chahun bhi to kuchh kar nahin sakti
mujhe jab log kahte hain
'samina' aap to is umr mein bhi
to main ab KHud pe hansti hun
main hansti hun
main hansti hun

(253) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai written by Sameena Tabassum at UrduPoint. Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai is one of the masterpieces written by Sameena Tabassum. You can also find the complete poetry collection of Sameena Tabassum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sameena Tabassum' above.

Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Umr Ek Na-qabil-e-tardid Sachchai Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.