Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Santosh Purswani Sant

Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Santosh Purswani Sant. Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی دنیا میں ایسا معجزہ ہو ہی نہیں سکتا

سنتوش پرسوانی سنت

کبھی دنیا میں ایسا معجزہ ہو ہی نہیں سکتا

نہیں جو آپ کا وہ آپ کا ہو ہی نہیں سکتا

اگر غم میں بھی پہلو سکھ کا کوئی ڈھونڈ لیں ہم تو

سفر پھر زندگی کا بے مزا ہو ہی نہیں سکتا

جو نا ممکن ہو اس میں بھی یہ گنجائش کریں پیدا

خیالوں کا تو کوئی دائرہ ہو ہی نہیں سکتا

وہ مجھ سے دور رہ کر بھی مری دھڑکن پہ ہے قابض

یہ ایسا کرب ہے جو فاصلہ ہو ہی نہیں سکتا

تصور کی مدد سے روز اک تصویر بنتا ہوں

کہ بہتر اس سے کوئی مشغلہ ہو ہی نہیں سکتا

تجھے منزل کی حسرت ہے مجھے رخت سفر پیارا

جو تیرا ہے وہ میرا راستہ ہو ہی نہیں سکتا

کل آئینہ نے میری دیکھ کر صورت کہا مجھ سے

ترے جیسا تو تنہا دوسرا ہو ہی نہیں سکتا

امیر شہر کی اندھی عدالت میں یہ طے سمجھو

کسی مفلس کے حق میں فیصلہ ہو ہی نہیں سکتا

ٹھکانے روز ہی خوشیاں بدلتی رہتی ہیں لیکن

فقط اک درد ہے جو لاپتہ ہو ہی نہیں سکتا

کسی ماں کی طرح میرا غزل نے ہاتھ تھاما ہے

یہ ہے وہ قرض جس کا حق ادا ہو ہی نہیں سکتا

وہ جس دھرتی پہ صوفی سنتؔ ہر دم ساتھ رہتے ہوں

محبت کا وہاں سے خاتمہ ہو ہی نہیں سکتا

سنتوش پرسوانی سنت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta

Santosh Purswani Sant

kabhi duniya mein aisa moajiza ho hi nahin sakta
nahin jo aap ka wo aap ka ho hi nahin sakta

agar gham mein bhi pahlu sukh ka koi DhunD len hum to
safar phir zindagi ka be-maza ho hi nahin sakta

jo na-mumkin ho us mein bhi ye gunjaish karen paida
KHayalon ka to koi daera ho hi nahin sakta

wo mujh se dur rah kar bhi meri dhaDkan pe hai qabiz
ye aisa karb hai jo fasla ho hi nahin sakta

tasawwur ki madad se roz ek taswir bunta hun
ki behtar is se koi mashghala ho hi nahin sakta

tujhe manzil ki hasrat hai mujhe raKHt-e-safar pyara
jo tera hai wo mera rasta ho hi nahin sakta

kal aaine ne meri dekh kar surat kaha mujh se
tere jaisa to tanha dusra ho hi nahin sakta

amir-e-shahr ki andhi adalat mein ye tai samjho
kisi muflis ke haq mein faisla ho hi nahin sakta

Thikane roz hi KHushiyan badalti rahti hain lekin
faqat ek dard hai jo lapata ho hi nahin sakta

kisi man ki tarah mera ghazal ne hath thama hai
ye hai wo qarz jis ka haq ada ho hi nahin sakta

wo jis dharti pe sufi-‘sant’ har-dam sath rahte hon
mohabbat ka wahan se KHatma ho hi nahin sakta

(646) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta written by Santosh Purswani Sant at UrduPoint. Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Santosh Purswani Sant. You can also find the complete poetry collection of Santosh Purswani Sant by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Santosh Purswani Sant' above.

Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Duniya Mein Aisa Moajiza Ho Hi Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.