Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin, Urdu Ghazal By Saqib Mahmood

Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Mahmood. Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیسا گھر ہے کہ جس میں کوئی کتاب نہیں

ثاقب محمود

یہ کیسا گھر ہے کہ جس میں کوئی کتاب نہیں

سیاہ رات ہے جس میں کہ ماہتاب نہیں

قصور تیرا ہے اس کو نہ دیکھ پائے اگر

خدا کی ذات پہ ورنہ کوئی حجاب نہیں

وہ خاک میں نہ ملا دے کہیں خفا ہو کر

مری وہ الفتیں جن کا کوئی حساب نہیں

برا میں کیسے مناؤں گا اس کی نفرت کا

حساب میں وہ ابھی صاحب نصاب نہیں

ہاں ایک طرفہ محبت نہیں گناہ مگر

زیاں یہ وقت کا ہے اس میں کچھ ثواب نہیں

میں خود سے ہارا ہوا ایک ایسا شاعر ہوں

کہ جس کی آنکھوں میں شہرت کا کوئی خواب نہیں

کوئی بھی راستہ چن لو ملیں گے کانٹے ہی

نصیب میں جو ہمارے کوئی گلاب نہیں

نہیں ہے آس بھی بجھنے کی پیاس اب ثاقبؔ

ہوں ایسے دشت میں جس میں کوئی سراب نہیں

ثاقب محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin

Saqib Mahmood

ye kaisa ghar hai ki jis mein koi kitab nahin
siyah raat hai jis mein ki mahtab nahin

qusur tera hai us ko na dekh pae agar
KHuda ki zat pe warna koi hijab nahin

wo KHak mein na mila de kahin KHafa ho kar
meri wo ulfaten jin ka koi hisab nahin

bura main kaise manaunga us ki nafrat ka
hisab mein wo abhi sahab-e-nisab nahin

han ek-tarfa mohabbat nahin gunah magar
ziyan ye waqt ka hai is mein kuchh sawab nahin

main KHud se haara hua ek aisa shair hun
ki jis ki aankhon mein shohrat ka koi KHwab nahin

koi bhi rasta chun lo milenge kanTe hi
nasib mein jo hamare koi gulab nahin

nahin hai aas bhi bujhne ki pyas ab 'saqib'
hun aise dasht mein jis mein koi sarab nahin

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin written by Saqib Mahmood at UrduPoint. Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin is one of the masterpieces written by Saqib Mahmood. You can also find the complete poetry collection of Saqib Mahmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Mahmood' above.

Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kaisa Ghar Hai Ki Jis Mein Koi Kitab Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.