Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain, Urdu Ghazal By Sardar Genda Singh Mashriqi

Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Genda Singh Mashriqi. Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ بدگمانیاں ہیں کچھ بد زبانیاں ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

کچھ بدگمانیاں ہیں کچھ بد زبانیاں ہیں

مدت سے ان کی ہم پر یہ مہربانیاں ہیں

آتا ہے جب کسی پر رکتا نہیں ہے ہرگز

مانند موج دریا دل کی روانیاں ہیں

پیدا کہاں ہیں ہوتے اب ذوقؔ اور غالبؔ

ہاں داغؔ اور حالیؔ ان کی نشانیاں ہیں

جو پاس تھا وہ کھویا نام سلف ڈبویا

کیا خاک اپنی اے دل اب زندگانیاں ہیں

اے دل نہ چھیڑ قصہ ہو درد جس سے پیدا

یہ شعر خوانیاں ہے یا نوحہ خوانیاں ہیں

کیا ہم نے یہ نکالی طرز غزل نرالی

کچھ گلفشانیاں ہیں کچھ خوں فشانیاں ہیں

باد خزاں نے گلشن ویراں کیا ہے سارا

بلبل کی اب کہاں وہ رنگیں بیانیاں ہیں

جور و جفا کے ایسے ہم ہو گئے ہیں خوگر

نا‌ مہربانیاں بھی اب مہربانیاں ہیں

اے مشرقیؔ جہاں میں دیکھا یہی تماشا

کچھ ماتم‌ و الم ہے کچھ شادمانیاں ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain
muddat se un ki hum par ye mehrbaniyan hain

aata hai jab kisi par rukta nahin hai hargiz
manind-e-mauj-e-dariya dil ki rawaniyan hain

paida kahan hain hote ab 'zauq' aur 'ghaalib'
han 'dagh' aur 'haali' un ki nishaniyan hain

jo pas tha wo khoya nam-e-salaf Duboya
kya KHak apni ai dil ab zindaganiyan hain

ai dil na chheD qissa ho dard jis se paida
ye sher-KHwaniyan hai ya nauha-KHwaniyan hain

kya hum ne ye nikali tarz-e-ghazal nirali
kuchh guf-fishaniyan hain kuchh KHun-fishaniyan hain

baad-e-KHizan ne gulshan viran kiya hai sara
bulbul ki ab kahan wo rangin-bayaniyan hain

jaur-o-jafa ke aise hum ho gae hain KHugar
na-meharbaniyan bhi ab mehrbaniyan hain

ai 'mashriqi' jahan mein dekha yahi tamasha
kuchh matam-o-alam hai kuchh shadmaniyan hain

(301) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain written by Sardar Genda Singh Mashriqi at UrduPoint. Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain is one of the masterpieces written by Sardar Genda Singh Mashriqi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Genda Singh Mashriqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Genda Singh Mashriqi' above.

Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Bad-gumaniyan Hain Kuchh Bad-zabaniyan Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.