Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai, Urdu Ghazal By Sardar Panchhi

Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Panchhi. Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai comes under the Social, Hope category of Urdu Ghazal. You can read Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آس جس کی جوان ہوتی ہے

سردار پنچھی

آس جس کی جوان ہوتی ہے

اس کی اونچی اڑان ہوتی ہے

جو قلم عابد ادب ٹھہرا

اس کی ہی آن بان ہوتی ہے

تیر لگتا ہے دل کے ٹھیک اوپر

جب نظر میں کمان ہوتی ہے

رنگ تقدیر کا بدل جائے

جب وفا مہربان ہوتی ہے

یاد آتی ہے جس گھڑی اس کی

وہ گھڑی امتحان ہوتی ہے

بن کہے بن سنے یہ دل سمجھے

بات جو درمیان ہوتی ہے

بد نصیبی سکون سے سوئے

جب سویرے اذان ہوتی ہے

ہے بلند اس کا پرچم قسمت

جس پہ تو مہربان ہوتی ہے

وہ ہی چھوتے ہیں آسماں پنچھیؔ

جن پروں میں بھی جان ہوتی ہے

سردار پنچھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai

Sardar Panchhi

aas jis ki jawan hoti hai
us ki unchi uDan hoti hai

jo qalam aabid-e-adab Thahra
us ki hi aan-ban hoti hai

tir lagta hai dil ke Thik upar
jab nazar mein kaman hoti hai

rang taqdir ka badal jae
jab wafa mehrban hoti hai

yaad aati hai jis ghaDi us ki
wo ghaDi imtihan hoti hai

bin kahe bin sune ye dil samjhe
baat jo darmiyan hoti hai

bad-nasibi sukun se soe
jab sawere azan hoti hai

hai buland us ka parcham-e-qismat
jis pe tu mehrban hoti hai

wo hi chhute hain aasman 'panchhi'
jin paron mein bhi jaan hoti hai

(453) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai written by Sardar Panchhi at UrduPoint. Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai is one of the masterpieces written by Sardar Panchhi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Panchhi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Panchhi' above.

Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.