Jadid-tarin Aadmi-nama, Urdu Nazam By Sarfaraz Shahid

Jadid-tarin Aadmi-nama is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sarfaraz Shahid. Jadid-tarin Aadmi-nama comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Jadid-tarin Aadmi-nama on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جدید ترین آدمی نامہ

سرفراز شاہد

راکٹ اڑا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

موٹر چلا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

بس میں جو جا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

پیڈل گھما رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

پیدل جو آ رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

پبلک سے جس نے ووٹ لیا وہ بھی آدمی

رشوت کا جس نے نوٹ لیا وہ بھی آدمی

''لنڈے'' کا جس نے کوٹ لیا وہ بھی آدمی

''چرغا'' اڑا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

جو دال کھا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

بزنس کوئی کرے تو کوئی نوکری کرے

کوئی بنے کلرک کوئی افسری کرے

جو کچھ نہ کر سکے وہ فقط لیڈری کرے

جلسہ سجا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

نعرے لگا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

تسخیر جو خلا کی کرے وہ بھی آدمی

اڑ جائے چاند سے بھی پرے وہ بھی آدمی

اور اس کا جو یقیں نہ کرے وہ بھی آدمی

باتیں بنا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

کچھ کر دکھا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

ٹی وی پہ آدمی ہمیں نغمے سنائے ہے

ڈسکو کرے ہے آدمی اور تھرتھرائے ہے

اور کوئی باتھ روم ہی میں گنگنائے ہے

جو گیت گا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

جو سر ہلا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

سگرٹ کا جو اڑائے دھواں وہ بھی آدمی

پیتا ہے ہیروئن جو یہاں وہ بھی آدمی

نسوار میں جو پائے اماں وہ بھی آدمی

بیڑا چبا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

جو پی پلا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی

سرفراز شاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jadid-tarin Aadmi-nama

Sarfaraz Shahid

rocket uDa raha hai so hai wo bhi aadmi
motor chala raha hai so hai wo bhi aadmi
bas mein jo ja raha hai so hai wo bhi aadmi
pedal ghuma raha hai so hai wo bhi aadmi
paidal jo aa raha hai so hai wo bhi aadmi

public se jis ne wote liya wo bhi aadmi
rishwat ka jis ne note liya wo bhi aadmi
lunde ka jis ne coat liya wo bhi aadmi
chargha uDa raha hai so hai wo bhi aadmi
jo dal kha raha hai so hai wo bhi aadmi

business koi kare to koi naukri kare
koi bane clerk koi afsari kare
jo kuchh na kar sake wo faqat leaderi kare
jalsa saja raha hai so hai wo bhi aadmi
nare laga raha hai so hai wo bhi aadmi

tasKHir jo KHala ki kare wo bhi aadmi
uD jae chand se bhi pare wo bhi aadmi
aur is ka jo yaqin na kare wo bhi aadmi
baaten bana raha hai so hai wo bhi aadmi
kuchh kar dikha raha hai so hai wo bhi aadmi

TV pe aadmi hamein naghme sunae hai
Disko kare hai aadmi aur thartharae hai
aur koi baath-room hi mein gungunae hai
jo git ga raha hai so hai wo bhi aadmi
jo sar hila raha hai so hai wo bhi aadmi

cigarette ka jo uDae dhuan wo bhi aadmi
pita hai heroine jo yahan wo bhi aadmi
niswar mein jo pae aman wo bhi aadmi
biDa chaba raha hai so hai wo bhi aadmi
jo pi pila raha hai so hai wo bhi aadmi

(1011) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jadid-tarin Aadmi-nama written by Sarfaraz Shahid at UrduPoint. Jadid-tarin Aadmi-nama is one of the masterpieces written by Sarfaraz Shahid. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Shahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Shahid' above.

Jadid-tarin Aadmi-nama is a widely read Urdu Nazam. If you like Jadid-tarin Aadmi-nama, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.