Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle, Urdu Ghazal By Sarosh Lucknowi

Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarosh Lucknowi. Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق کرتا ہے سفر بانگ درا سے پہلے

سروش لکھنوی

شوق کرتا ہے سفر بانگ درا سے پہلے

کان بجتے ہیں محبت میں صدا سے پہلے

شرط اتنی ہے کہ تکمیل ہو محرومی کی

جلوہ دکھلاتی ہے تاثیر دعا سے پہلے

عشق اور حسن کسی عہد میں بے لاگ نہ تھے

محویت شوق سے شوخی تھی حیا سے پہلے

مختصر زندگیٔ عشق کی روداد یہ ہے

موت آتی ہے کئی بار قضا سے پہلے

اس برے حال میں بھی پاس محبت دیکھو

دل نے دم توڑ دیا خون وفا سے پہلے

زانوئے دوست پہ راحت یہ ملی وقت اخیر

لگ گئی آنکھ مری خواب فنا سے پہلے

آج ہیں فتنۂ دوران و قیامت آشوب

وہی نظریں جو نہ اٹھتی تھیں حیا سے پہلے

داستاں حسن حقیقت کی تھی رنگیں لیکن

اتنی رنگیں نہ تھی خون شہدا سے پہلے

اس کمی پر ہے وہ عالم کہ الٰہی توبہ

ہائے کیا چیز تھے تم ترک وفا سے پہلے

ابھی زیبا نہیں تجھ کو گلۂ بے اثری

خون دل شرط ہے تاثیر وفا سے پہلے

بدلے بدلے سے ہیں کچھ حسن کے تیور ایسے

سر نگوں عشق ہے اقرار خطا سے پہلے

دل میں یوں ہے تری نکھری ہوئی زلفوں کا خیال

جیسے مطلع پہ دھندلکا ہو گھٹا سے پہلے

ہائے بے خوابیٔ یک عمر وفا کا یہ مآل

سو گیا میں ترے دامن کی ہوا سے پہلے

ہے وہ بالیدہ و شاداب چمن طبع سروشؔ

پھول کھلتے ہیں جہاں باد صبا سے پہلے

سروش لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle

Sarosh Lucknowi

shauq karta hai safar bang-e-dara se pahle
kan bajte hain mohabbat mein sada se pahle

shart itni hai ki takmil ho mahrumi ki
jalwa dikhlati hai tasir dua se pahle

ishq aur husn kisi ahd mein be-lag na the
mahwiyat shauq se shoKHi thi haya se pahle

muKHtasar zindagi-e-ishq ki rudad ye hai
maut aati hai kai bar qaza se pahle

is bure haal mein bhi pas-e-mohabbat dekho
dil ne dam toD diya KHun-e-wafa se pahle

zanu-e-dost pe rahat ye mili waqt-e-aKHir
lag gai aankh meri KHwab-e-fana se pahle

aaj hain fitna-e-dauran-o-qayamat-ashob
wahi nazren jo na uThti thin haya se pahle

dastan husn-e-haqiqat ki thi rangin lekin
itni rangin na thi KHun-e-shohada se pahle

is kami par hai wo aalam ki ilahi tauba
hae kya chiz the tum tark-e-wafa se pahle

abhi zeba nahin tujh ko gila-e-be-asari
KHun-e-dil shart hai tasir-e-wafa se pahle

badle badle se hain kuchh husn ke tewar aise
sar nigun ishq hai iqrar-e-KHata se pahle

dil mein yun hai teri nikhri hui zulfon ka KHayal
jaise matla pe dhundalka ho ghaTa se pahle

hae be-KHwabi-e-yak-umr-e-wafa ka ye maal
so gaya main tere daman ki hawa se pahle

hai wo baalida-o-shadab chaman taba-e-'sarosh'
phul khilte hain jahan baad-e-saba se pahle

(344) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle written by Sarosh Lucknowi at UrduPoint. Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle is one of the masterpieces written by Sarosh Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Sarosh Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarosh Lucknowi' above.

Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq Karta Hai Safar Bang-e-dara Se Pahle, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.