Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein, Urdu Ghazal By Sayed Khadime Rasul Aini

Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Khadime Rasul Aini. Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایسی کشش ہے ہجر کی حالت اضطراب میں

سید خادم رسول عینی

ایسی کشش ہے ہجر کی حالت اضطراب میں

مجھ کو سکوں نہیں ملا ایسا کسی رباب میں

سامنے اس کے ہیچ ہیں سارے مزے شراب کے

ان کے لبوں کے لطف سے ایسا ہوں فیضیاب میں

ان کی ہیں صحبتیں بھلی دولت علم مل گئی

ایسی کبھی نہیں ملی مجھ کو کسی کتاب میں

ان کے شباب حسن کا کرتا رہوں مشاہدہ

ایسی نہیں ہے چاشنی اور کسی شباب میں

میرے رقیب خار کو گل سے نوازا آپ نے

چوک ہوئی ہے مجھ سے بھی یار کے انتخاب میں

فکر رسا کو ملتی ہے تم سے چمک دمک سدا

نام تمہارا لکھ دیا صفحۂ انتساب میں

اس کو کہوں میں شہد یا کہتا رہوں زلال اسے

ایسی مٹھاس عینیؔ ہے ان کے دہن کے آب میں

سید خادم رسول عینی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein

Sayed Khadime Rasul Aini

aisi kashish hai hijr ki haalat-e-iztirab mein
mujh ko sukun nahin mila aisa kisi rabab mein

samne us ke hech hain sare maze sharab ke
un ke labon ke lutf se aisa hun faizyab main

un ki hain sohbaten bhali daulat-e-ilm mil gai
aisi kabhi nahin mili mujh ko kisi kitab mein

un ke shabab-e-husn ka karta rahun mushahida
aisi nahin hai chashni aur kisi shabab mein

mere raqib-e-KHar ko gul se nawaza aap ne
chuk hui hai mujh se bhi yar ke intiKHab mein

fikr-e-rasa ko milti hai tum se chamak-damak sada
nam tumhaara likh diya safha-e-intisab mein

us ko kahun main shahd ya kahta rahun zulal use
aisi miThas 'aini' hai un ke dahan ke aab mein

(515) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein written by Sayed Khadime Rasul Aini at UrduPoint. Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein is one of the masterpieces written by Sayed Khadime Rasul Aini. You can also find the complete poetry collection of Sayed Khadime Rasul Aini by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Khadime Rasul Aini' above.

Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aisi Kashish Hai Hijr Ki Haalat-e-iztirab Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.