Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta, Urdu Ghazal By Shabbir Abravi

Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shabbir Abravi. Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محنت کی کمائی پہ قناعت نہیں کرتا

شبیر ابروی

محنت کی کمائی پہ قناعت نہیں کرتا

بندوں کی طرح کیا وہ عبادت نہیں کرتا

چھوٹوں سے وہ تعظیم کی امید نہ رکھے

جو اپنے بڑوں کی کبھی عزت نہیں کرتا

بچوں کو سناتا ہے بزرگوں کی کہانی

وہ اپنی روایت سے بغاوت نہیں کرتا

غربت میں بچھا دیتا ہے قالین محبت

مہمان کی آمد پہ شکایت نہیں کرتا

بزدل بھی وہ کہلانے سے ڈرتا ہے جہاں میں

سچ بولنے کی بھی کبھی جرأت نہیں کرتا

اس واسطے کچھ لوگ خفا رہتے ہیں اس سے

شبیرؔ کسی رائی کو پربت نہیں کرتا

شبیر ابروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta

Shabbir Abravi

mehnat ki kamai pe qanaat nahin karta
bandon ki tarah kya wo ibaadat nahin karta

chhoTon se wo tazim ki ummid na rakkhe
jo apne baDon ki kabhi izzat nahin karta

bachchon ko sunata hai buzurgon ki kahani
wo apni riwayat se baghawat nahin karta

ghurbat mein bichha deta hai qalin-e-mohabbat
mehman ki aamad pe shikayat nahin karta

buzdil bhi wo kahlane se Darta hai jahan mein
sach bolne ki bhi kabhi jurat nahin karta

is waste kuchh log KHafa rahte hain us se
'shabbir' kisi rai ko parbat nahin karta

(380) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta written by Shabbir Abravi at UrduPoint. Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta is one of the masterpieces written by Shabbir Abravi. You can also find the complete poetry collection of Shabbir Abravi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shabbir Abravi' above.

Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mehnat Ki Kamai Pe Qanaat Nahin Karta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.