Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain, Urdu Ghazal By Shad Siddiqi

Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shad Siddiqi. Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم اپنی ساری خواہش ہر تمنا چھوڑ دیتے ہیں (ردیف .. ے)

شاد صدیقی

ہم اپنی ساری خواہش ہر تمنا چھوڑ دیتے ہیں

تمہیں پانے کو ہم ہر روز کیا کیا چھوڑ دیتے ہیں

میں جب بھی سیاہ راتوں میں تمہارا نام لیتا ہوں

تمہاری یاد کے جگنو اجالا چھوڑ دیتے ہیں

یہ تنہائی ہمیں اک روز تنہا کر کے مانے گی

چلو تنہائیوں کو ہم ہی تنہا چھوڑ دیتے ہیں

ہمیں اپنی زمیں کا ہی گھروندا ٹھیک لگتا ہے

تبھی تو ہم ستاروں کا ٹھکانہ چھوڑ دیتے ہیں

کہیں رشتوں کے کمرے میں وہ خود کو قید نہ سمجھیں

سو ہم باہر نکلنے کا بھی رستہ چھوڑ دیتے ہیں

محبت میں کیا ہر ایک وعدہ یوں نبھاتے ہیں

کہ ہم وعدے کی خاطر ساری دنیا چھوڑ دیتے ہیں

زیادہ روشنی میں بھی دکھائی کچھ نہیں دیتا

تمہاری آنکھ کھل جائے اندھیرا چھوڑ دیتے ہیں

یہ دولت غیر کی ہے ساتھ تو جا ہی نہ پائے گی

تو پھر کس کام کا ہے یہ خزانہ چھوڑ دیتے ہیں

ضروری تو نہیں ہے شادؔ ہر قصہ مکمل ہو

تو اپنی اس غزل کو بھی ادھورا چھوڑ دیتے ہے

شاد صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain

Shad Siddiqi

hum apni sari KHwahish har tamanna chhoD dete hain
tumhein pane ko hum har roz kya kya chhoD dete hain

main jab bhi syah raaton mein tumhaara nam leta hun
tumhaari yaad ke jugnu ujala chhoD dete hain

ye tanhai hamein ek roz tanha kar ke manegi
chalo tanhaiyon ko hum hi tanha chhoD dete hain

hamein apni zamin ka hi gharaunda Thik lagta hai
tabhi to hum sitaron ka Thikana chhoD dete hain

kahin rishton ke kamre mein wo KHud ko qaid na samjhen
so hum bahar nikalne ka bhi rasta chhoD dete hain

mohabbat mein kiya har ek wada yun nibhate hain
ki hum wade ki KHatir sari duniya chhoD dete hain

ziyaada raushni mein bhi dikhai kuchh nahin deta
tumhaari aankh khul jae andhera chhoD dete hain

ye daulat ghair ki hai sath to ja hi na paegi
to phir kis kaam ka hai ye KHazana chhoD dete hain

zaruri to nahin hai 'shad' har qissa mukammal ho
to apni is ghazal ko bhi adhura chhoD dete hai

(539) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain written by Shad Siddiqi at UrduPoint. Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain is one of the masterpieces written by Shad Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Shad Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shad Siddiqi' above.

Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Apni Sari KHwahish Har Tamanna ChhoD Dete Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.