Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota, Urdu Ghazal By Shaghil Usmani

Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaghil Usmani. Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں ہوتا عبور بحر غم آساں نہیں ہوتا

شاغل عثمانی

نہیں ہوتا عبور بحر غم آساں نہیں ہوتا

کبھی کشتی نہیں ہوتی کبھی ساماں نہیں ہوتا

جسے فکر مآل گردش دوراں نہیں ہوتا

اسے انساں نہیں کہتے ہیں وہ انساں نہیں ہوتا

نہیں ہوتا دل ناشاد کا درماں نہیں ہوتا

کسی صورت نہیں ہوتا کسی عنواں نہیں ہوتا

منور جس کے دل میں عارض جاناں نہیں ہوتا

مری دانست میں وہ حافظ قرآں نہیں ہوتا

یہاں دل ہی نہیں رکھتے کہ ارمانوں کا جھگڑا ہو

خدا جانے کہ کیا ہوتا ہے کیا ارماں نہیں ہوتا

طریقت کی خبر کیا اس کو وہ کیا معرفت جانے

کبھی واعظ شریک محفل رنداں نہیں ہوتا

یہ پچھلی شب کے آنسو بھی عجب تاثیر رکھتے ہیں

کبھی محروم رحمت دیدۂ گریاں نہیں ہوتا

نمایاں ہوں گنہ گاروں میں لیکن پھر بھی نادم ہوں

تری شان کریمی کے کوئی شایاں نہیں ہوتا

سبھی کچھ ہے غم و اندوہ و یاس و حسرت و ارماں

ترا عاشق گدائے بے سر و ساماں نہیں ہوتا

تری رحمت کے موتی بن کے برسے جب کبھی برسے

سرشک آلود عصیاں کار کا داماں نہیں ہوتا

ہمیشہ عافیت ہی باعث آفات ہوتی ہے

جہاں ساحل نہیں ہوتا وہاں طوفاں نہیں ہوتا

گدائے مے کدہ ہوں دو جہاں ہیں میرے دامن میں

مجھے تو شکوۂ کوتاہیٔ داماں نہیں ہوتا

نہیں ملتا جسے فیض جناب ساقیٔ کوثر

میسر اس کو شاغلؔ بادۂ عرفاں نہیں ہوتا

شاغل عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota

Shaghil Usmani

nahin hota ubur-e-bahr-e-gham aasan nahin hota
kabhi kashti nahin hoti kabhi saman nahin hota

jise fikr-e-maal-e-gardish-e-dauran nahin hota
use insan nahin kahte hain wo insan nahin hota

nahin hota dil-e-nashad ka darman nahin hota
kisi surat nahin hota kisi unwan nahin hota

munawwar jis ke dil mein aariz-e-jaanan nahin hota
meri danist mein wo hafiz-e-quran nahin hota

yahan dil hi nahin rakhte ki armanon ka jhagDa ho
KHuda jaane ki kya hota hai kya arman nahin hota

tariqat ki KHabar kya us ko wo kya marifat jaane
kabhi waiz sharik-e-mahfil-e-rindan nahin hota

ye pichhli shab ke aansu bhi ajab tasir rakhte hain
kabhi mahrum-e-rahmat dida-e-giryan nahin hota

numayan hun gunahgaron mein lekin phir bhi nadim hun
teri shan-e-karimi ke koi shayan nahin hota

sabhi kuchh hai gham-o-andoh-o-yas-o-hasrat-o-arman
tera aashiq gada-e-be-sar-o-saman nahin hota

teri rahmat ke moti ban ke barse jab kabhi barse
sarishk-alud isyan-kar ka daman nahin hota

hamesha aafiyat hi bais-e-afat hoti hai
jahan sahil nahin hota wahan tufan nahin hota

gada-e-mai-kada hun do-jahan hain mere daman mein
mujhe to shikwa-e-kotahi-e-daman nahin hota

nahin milta jise faiz-e-janab-e-saqi-e-kausar
mayassar us ko 'shaghil' baada-e-irfan nahin hota

(317) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota written by Shaghil Usmani at UrduPoint. Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota is one of the masterpieces written by Shaghil Usmani. You can also find the complete poetry collection of Shaghil Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaghil Usmani' above.

Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.