Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya, Urdu Ghazal By Shaghil Usmani

Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaghil Usmani. Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذکر وفا پہ کہتے ہیں تیری وفا ہے کیا

شاغل عثمانی

ذکر وفا پہ کہتے ہیں تیری وفا ہے کیا

معلوم ہے کہ عشق میں اس کی سزا ہے کیا

ملتا ہے بے طلب تو طلب اور دعا ہے کیا

سنئے طریق شکر کا اس کے سوا ہے کیا

مردہ دلوں سے کوئی توقع فضول ہے

مر کر بھی آج تک کوئی زندہ ہوا ہے کیا

تم تو تمہیں ہو آئنہ جو چاہے وہ کہے

اہل نظر کے سامنے بہروپیا ہے کیا

بنتا ہے قلب نقد تو ہوتا ہے نقد قلب

وہ سیمیا ہے اس کی نظر کیمیا ہے کیا

ہر شے میں جلوہ گر ہے تو ہر شے سے بے نیاز

کیوں کر پتہ چلے کہ سوا ماسوا ہے کیا

آنکھوں میں اشک رنگ پریدہ حواس گم

اے نامہ بر بتا تو سہی ماجرا ہے کیا

دو چار جام دے تو دیے محتسب تجھے

توبہ کا اور اس کے سوا خوں بہا ہے کیا

ہر ہر نفس نفس نہیں بانگ رحیل ہے

اہل خرد کے واسطے بانگ درا ہے کیا

قائم ہے اس کی سمت نہ لغزش نہ اضطراب

میری جبیں کے سامنے قبلہ نما ہے کیا

کشتی خدا پہ چھوڑ دے اے میر کارواں

طوفان کس کو کہتے ہیں اور ناخدا ہے کیا

شاغلؔ قمر کے حسن محبت کا ہے اثر

ورنہ شراب شعر میں باقی نشہ ہے کیا

شاغل عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya

Shaghil Usmani

zikr-e-wafa pe kahte hain teri wafa hai kya
malum hai ki ishq mein us ki saza hai kya

milta hai be-talab to talab aur dua hai kya
suniye tariq shukr ka is ke siwa hai kya

murda dilon se koi tawaqqo' fuzul hai
mar kar bhi aaj tak koi zinda hua hai kya

tum to tumhin ho aaina jo chahe wo kahe
ahl-e-nazar ke samne bahrupiya hai kya

banta hai qalb naqd to hota hai naqd qalb
wo simiya hai us ki nazar kimiya hai kya

har shai mein jalwa-gar hai tu har shai se be-niyaz
kyunkar pata chale ki siwa ma-siwa hai kya

aankhon mein ashk rang-e-parida hawas gum
ai nama-bar bata to sahi majra hai kya

do chaar jam de to diye mohtasib tujhe
tauba ka aur is ke siwa KHun-baha hai kya

har har nafas nafas nahin bang-e-rahil hai
ahl-e-KHirad ke waste bang-e-dara hai kya

qaem hai us ki samt na laghzish na iztirab
meri jabin ke samne qibla-numa hai kya

kashti KHuda pe chhoD de ai mir-e-karwan
tufan kis ko kahte hain aur naKHuda hai kya

'shaghil' qamar ke husn-e-mohabbat ka hai asar
warna sharab-e-sher mein baqi nasha hai kya

(360) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya written by Shaghil Usmani at UrduPoint. Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya is one of the masterpieces written by Shaghil Usmani. You can also find the complete poetry collection of Shaghil Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaghil Usmani' above.

Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.