Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin, Urdu Ghazal By Shaghil Usmani

Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaghil Usmani. Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمک میں برق نہیں ضو میں آفتاب نہیں

شاغل عثمانی

چمک میں برق نہیں ضو میں آفتاب نہیں

وہ آئنہ ہے ترا جس میں خاک آب نہیں

سبو و جام ہیں خالی اور اضطراب نہیں

تری نظر تو ہے ساقی اگر شراب نہیں

جہان عشق میں اس سے بڑا عذاب نہیں

کہ لاکھ جلوے ہیں اور دیکھنے کی تاب نہیں

حقیقت سقر و خلد کیوں سمجھ نہ سکوں

جناب شیخ میں مست مے ثواب نہیں

غلط کہ شغل میں مے خوار کم ہے صوفی سے

یہ شغل جام مگر شغل آفتاب نہیں

خدا کو سونپ نہ دوں کیوں صحیفۂ ارماں

دعائے وقت سحر بھی تو کامیاب نہیں

رموز عشق سے واقف ہو کس طرح واعظ

یہ وہ کتاب ہے جو داخل نصاب نہیں

ترے کرم کا بھروسہ ہے داور محشر

یہاں تو پرسش اعمال کا جواب نہیں

ہزار پردۂ ارماں ہیں دل کے شیشے پر

نہیں نہیں تری تصویر بے نقاب نہیں

نشاط خانۂ عالم میں عمر یوں گزری

کبھی شراب نہیں اور کبھی کباب نہیں

نیاز مند جو پہنچے تو کس طرح پہنچے

حریم ناز میں نالہ بھی باریاب نہیں

حرم کو جائیں تو کیا جائیں حضرت شاغلؔ

وہاں رباب نہیں شاہد و شراب نہیں

شاغل عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin

Shaghil Usmani

chamak mein barq nahin zau mein aaftab nahin
wo aaina hai tera jis mein KHak-e-ab nahin

subu-o-jam hain KHali aur iztirab nahin
teri nazar to hai saqi agar sharab nahin

jahan-e-ishq mein is se baDa azab nahin
ki lakh jalwe hain aur dekhne ki tab nahin

haqiqat-e-saqar-o-KHuld kyon samajh na sakun
janab-e-shaiKH main mast-e-mai-e-sawab nahin

ghalat ki shaghl mein mai-KHwar kam hai sufi se
ye shaghl-e-jam magar shaghl-e-aftab nahin

KHuda ko saunp na dun kyon sahifa-e-arman
dua-e-waqt-e-sahar bhi to kaamyab nahin

rumuz-e-ishq se waqif ho kis tarah waiz
ye wo kitab hai jo daKHil-e-nisab nahin

tere karam ka bharosa hai dawar-e-mahshar
yahan to pursish-e-amal ka jawab nahin

hazar parda-e-arman hain dil ke shishe par
nahin nahin teri taswir be-naqab nahin

nashat-KHana-e-alam mein umr yun guzri
kabhi sharab nahin aur kabhi kabab nahin

niyaz-mand jo pahunche to kis tarah pahunche
harim-e-naz mein nala bhi baryab nahin

haram ko jaen to kya jaen hazrat-e-'shaghil'
wahan rabab nahin shahid-o-sharab nahin

(345) ووٹ وصول ہوئے

You can read Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin written by Shaghil Usmani at UrduPoint. Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin is one of the masterpieces written by Shaghil Usmani. You can also find the complete poetry collection of Shaghil Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaghil Usmani' above.

Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.