Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain, Urdu Ghazal By Shah Akbar Danapuri

Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Akbar Danapuri. Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موسیٰ ہیں ہمیں جلوۂ دیدار ہمیں ہیں

شاہ اکبر داناپوری

موسیٰ ہیں ہمیں جلوۂ دیدار ہمیں ہیں

ہیں طور ہمیں نور ہمیں نار ہمیں ہیں

منصور ہمیں ہیں سخن یار ہمیں ہیں

قاضی ہیں ہمیں شرع ہمیں دار ہمیں ہیں

کافر جسے کہتے ہیں ہمیں سے ہے اشارہ

مومن ہے غرض جس سے وہ دیدا ہمیں ہیں

فردوس اگر ہے تو ہمارے ہی لئے ہے

دوزخ کے اگر ہیں تو سزاوار ہمیں ہیں

ہیں داد و ستد دونوں یہ بندے ہی کی شانیں

بایع ہیں ہمیں اور خریدار ہمیں ہیں

مر جانے سے جو ہجر میں خوش ہے وہ ہمیں ہیں

جینے سے جو فرقت میں ہے بیزار ہمیں ہیں

قاصد ہیں ہمیں اور ہمیں کاتب نامہ

دل دار ہمیں نامۂ دل دار ہمیں ہیں

ناسوت جو مسکن ہے تو لاہوت گھر اپنا

خلوت میں ہمیں برسر بازار ہمیں ہیں

مشاطہ ہمیں اور ہمیں شانہ و گیسو

آئینہ ہمیں عکس رخ یار ہمیں ہیں

کہتے ہیں جسے کفر وہ اک شان ہے اپنی

اسلام جسے کہتے ہیں ابرار ہمیں ہیں

ناقوس کی آواز ہماری ہی صدا ہے

تکبیر کے الفاظ میں ہر بار ہمیں ہیں

دریا میں ہمیں اور ہمیں موج و صدف ہیں

قطرہ ہیں ہمیں گوہر شہوار ہمیں ہیں

اکبرؔ جو ہے مسجود دو عالم وہ وہی ہے

سجدے کے اگر ہیں تو سزاوار ہمیں ہیں

شاہ اکبر داناپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain

Shah Akbar Danapuri

musa hain hamin jalwa-e-didar hamin hain
hain tur hamin nur hamin nar hamin hain

mansur hamin hain suKHan-e-yar hamin hain
qazi hain hamin shara hamin dar hamin hain

kafir jise kahte hain hamin se hai ishaara
momin hai gharaz jis se wo din-dar hamin hain

firdaus agar hai to hamare hi liye hai
dozaKH ke agar hain to saza-war hamin hain

hain dad-o-sitad donon ye bande hi ki shanen
bae hain hamin aur KHaridar hamin hain

mar jaane se jo hijr mein KHush hai wo hamin hain
jine se jo furqat mein hai bezar hamin hain

qasid hain hamin aur hamin katib-e-nama
dil-dar hamin nama-e-dildar hamin hain

nasut jo maskan hai to lahut ghar apna
KHalwat mein hamin barsar-e-bazar hamin hain

mashshata hamin aur hamin shana-o-gesu
aaina hamin aks-e-ruKH-e-yar hamin hain

kahte hain jise kufr wo ek shan hai apni
islam jise kahte hain abrar hamin hain

naqus ki aawaz hamari hi sada hai
takbir ke alfaz mein har bar hamin hain

dariya mein hamin aur hamin mauj-o-sadaf hain
qatra hain hamin gauhar-e-shahwar hamin hain

'akbar' jo hai masjud-e-do-alam wo wahi hai
sajde ke agar hain to saza-war hamin hain

(473) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain written by Shah Akbar Danapuri at UrduPoint. Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain is one of the masterpieces written by Shah Akbar Danapuri. You can also find the complete poetry collection of Shah Akbar Danapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Akbar Danapuri' above.

Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Musa Hain Hamin Jalwa-e-didar Hamin Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.