Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai, Urdu Ghazal By Shahbaz Shamsi

Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahbaz Shamsi. Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سر آشفتہ پر پرکھوں کی پگڑی باندھ رکھی ہے

شہباز شمسی

سر آشفتہ پر پرکھوں کی پگڑی باندھ رکھی ہے

کسی کا نام لکھ کر میں نے مٹھی باندھ رکھی ہے

کوئی تو راستہ مجھ کو دکھائے میری منزل کا

محبت نے مری آنکھوں پہ پٹی باندھ رکھی ہے

بہت بیتاب ہے غرقاب ہونے کو وہ دریا میں

مرے ہونٹوں پہ خشکی نے جو کشتی باندھ رکھی ہے

کہیں اس بار بھی پیاسی تری یادیں نہ رہ جائیں

سو آنکھوں نے مری پلکوں سے ندی باندھ رکھی ہے

تری یادوں کے جھونکوں سے کہیں کھل کر نہ گر جائے

بچھڑ کے تجھ سے دل پر جو تسلی باندھ رکھی ہے

ذرا پردہ ہٹا کر کھول دے اب دست نازک سے

دریچے نے نظر میری ترستی باندھ رکھی ہے

تری تعریف کے پل باندھنے میں ہے مگن دھڑکن

ہوا بے تابیوں نے دل میں کیسی باندھ رکھی ہے

انا میری بنا ڈالے نہ اس کو موت کا پھندا

مرے پیروں میں تو نے جو یہ رسی باندھ رکھی ہے

سفر میں دوسرے رخت سفر آتے ہیں کب تک کام

سو اب ان کی دعاؤں کی یہ گٹھری باندھ رکھی ہے

اندھیرے دم دبائے پھر رہے ہیں بد حواسی میں

ہوا میرے چراغوں نے کچھ ایسی باندھ رکھی ہے

زمین دل پہ میری اک پرندہ ایسا اترا ہے

کہ جس نے قوت پرواز میری باندھ رکھی ہے

نہیں شہبازؔ مجھ سے آگ کی لپٹیں نہیں لپٹیٖں

بدن سے میں نے اپنی آپ بیتی باندھ رکھی ہے

شہباز شمسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai

Shahbaz Shamsi

sar-e-ashufta par purkhon ki pagDi bandh rakkhi hai
kisi ka nam likh kar main ne muTThi bandh rakkhi hai

koi to rasta mujh ko dikhae meri manzil ka
mohabbat ne meri aankhon pe paTTi bandh rakkhi hai

bahut betab hai gharqab hone ko wo dariya mein
mere honTon pe KHushki ne jo kashti bandh rakkhi hai

kahin is bar bhi pyasi teri yaaden na rah jaen
so aankhon ne meri palkon se naddi bandh rakkhi hai

teri yaadon ke jhonkon se kahin khul kar na gir jae
bichhaD ke tujh se dil par jo tasalli bandh rakkhi hai

zara parda haTa kar khol de ab dast-e-nazuk se
dariche ne nazar meri tarasti bandh rakkhi hai

teri tarif ke pul bandhne mein hai magan dhaDkan
hawa be-tabiyon ne dil mein kaisi bandh rakkhi hai

ana meri bana Dale na us ko maut ka phanda
mere pairon mein tu ne jo ye rassi bandh rakkhi hai

safar mein dusre raKHt-e-safar aate hain kab tak kaam
so ab un ki duaon ki ye gaThri bandh rakhi hai

andhere dum dabae phir rahe hain bad-hawasi mein
hawa mere charaghon ne kuchh aisi bandh rakkhi hai

zamin-e-dil pe meri ek parinda aisa utra hai
ki jis ne quwwat-e-parwaz meri bandh rakkhi hai

nahin 'shahbaz' mujh se aag ki lapTen nahin lipTin
badan se main ne apni aap-biti bandh rakkhi hai

(497) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai written by Shahbaz Shamsi at UrduPoint. Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai is one of the masterpieces written by Shahbaz Shamsi. You can also find the complete poetry collection of Shahbaz Shamsi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahbaz Shamsi' above.

Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sar-e-ashufta Par Purkhon Ki PagDi Bandh Rakkhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.