Nizam-e-shamsi, Urdu Nazam By Shahnaz Nabi

Nizam-e-shamsi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shahnaz Nabi. Nizam-e-shamsi comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Nizam-e-shamsi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظام شمسی

شہناز نبی

اس نے اپنے سفید پپوٹے جھپکائے

مٹیالی آنکھوں سے پورے آسمان کو تاکا

اور سورج کو گود میں بھر کر بولا

بڑی آگ ہے تجھ میں

چل تجھے قطب شمالی میں دفن کرتے ہیں

چھوٹے چھوٹے سیاروں کی بھی اپنی زندگی ہوتی ہے

انہیں اپنے اپنے کرے پر گھومنے دے

کس میں پانی ہے

کس میں ہوا

یہ دیکھنا تیرا کام نہیں

اپنے سیارے پہ زندگی کی علامتیں ڈھونڈھنا

تلاش کا پہلا نکتہ ہے

تیری دوری فرحت بخش ہے

قربت اندوہ گیں

تجھے گود میں لے کر میری آغوش میں چھالے پڑ گئے

تخلیق کے پہلے مرحلے میں

نظام شمسی ترتیب دیتے ہوئے

تجھے مرکز میں رہنے دینا میری بھول تو نہیں

شہناز نبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nizam-e-shamsi

Shahnaz Nabi

us ne apne safed papoTe jhapkae
maTyali aankhon se pure aasman ko taka
aur suraj ko god mein bhar kar bola
baDi aag hai tujh mein
chal tujhe qutub-shumali mein dafn karte hain
chhoTe chhoTe sayyaron ki bhi apni zindagi hoti hai
unhen apne apne kurre par ghumne de
kis mein pani hai
kis mein hawa
ye dekhna tera kaam nahin
apne sayyare pe zindagi ki alamaten DhunDhna
talash ka pahla nukta hai
teri duri farhat-baKHsh hai
qurbat andoh-gin
tujhe god mein le kar meri aaghosh mein chhaale paD gae

taKHliq ke pahle marhale mein
nizam-e-shamsi tartib dete hue
tujhe markaz mein rahne dena meri bhul to nahin

(946) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nizam-e-shamsi written by Shahnaz Nabi at UrduPoint. Nizam-e-shamsi is one of the masterpieces written by Shahnaz Nabi. You can also find the complete poetry collection of Shahnaz Nabi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahnaz Nabi' above.

Nizam-e-shamsi is a widely read Urdu Nazam. If you like Nizam-e-shamsi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.