Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai, Urdu Ghazal By Shahnaz Rahmat

Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahnaz Rahmat. Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری خاموش محبت کی یہ قیمت دی ہے

شہناز رحمت

میری خاموش محبت کی یہ قیمت دی ہے

اس نے ٹھکرا کے مجھے درد کی دولت دی ہے

آپ کو بھول سکوں دل کو کہیں بہلاؤں

آپ کی یاد نے کب مجھ کو یہ مہلت دی ہے

پاس بیٹھوں تیرے اور تجھ کو ہی دیکھے جاؤں

میری آنکھوں کو کہاں اتنی اجازت دی ہے

دردمندی سے محبت سے ملوں میں سب سے

میرے اجداد نے ورثے میں یہ فطرت دی ہے

کام اوروں کے میں آتی رہوں مرتے دم تک

میرے خالق نے مجھے جتنی بھی طاقت دی ہے

کتنی دل کش ہے حسیں ہے یہ دھنک رنگ فضا

موسم گل کو مصور نے کیا رنگت دی ہے

میری زلفوں کو سنوارے میرا آنچل جھولے

اے ہوا کس نے تجھے آج یہ جرأت دی ہے

کیوں میرے ساتھ ہی رویا ہے میرا آئینہ

نوحہ گر تو نے اسے کون سی صورت دی ہے

تیری دنیا میں ہے مجروح میری سادہ دلی

کیا اسی واسطے یہ سادہ طبیعت دی ہے

زخم دل بھر گئے کچھ اور عنایت کر دیں

اتنی سی بات ہے صاحب جو یوں زحمت دی ہے

مجھ کو اس دہر کے دوزخ میں جلایا ہے سدا

کہنے کو قدموں کے نیچے میرے جنت دی ہے

اس نے مجھ کو فقط غم ہی نہیں بخشے ہیں

میرے لہجے کو جنوں سوچ کو وحشت دی ہے

سب سے ملتا ہے تو ہنس ہنس کے ستم ڈھاتا ہے

میرے جذبوں کو کہاں تو نے یہ قربت دی ہے

تجھ کو اللہ بچائے سدا نظر بد سے

تجھ کو شہنازؔ خدا نے حسیں صورت دی ہے

شہناز رحمت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai

Shahnaz Rahmat

meri KHamosh mohabbat ki ye qimat di hai
us ne Thukra ke mujhe dard ki daulat di hai

aap ko bhul sakun dil ko kahin bahlaun
aap ki yaad ne kab mujh ko ye mohlat di hai

pas baiThun tere aur tujh ko hi dekhe jaun
meri aankhon ko kahan itni ijazat di hai

dardmandi se mohabbat se milun main sab se
mere ajdad ne wirse mein ye fitrat di hai

kaam auron ke main aati rahun marte dam tak
mere KHaliq ne mujhe jitni bhi taqat di hai

kitni dilkash hai hasin hai ye dhanak-rang faza
mausam-e-gul ko musawwir ne kya rangat di hai

meri zulfon ko sanware mera aanchal jhule
ai hawa kis ne tujhe aaj ye jurat di hai

kyon mere sath hi roya hai mera aaina
nauhagar tu ne use kaun si surat di hai

teri duniya mein hai majruh meri sada-dili
kya isi waste ye sada tabiat di hai

zaKHm-e-dil bhar gae kuchh aur inayat kar den
itni si baat hai sahab jo yun zahmat di hai

mujh ko is dahr ke dozaKH mein jalaya hai sada
kahne ko qadmon ke niche mere jannat di hai

us ne mujh ko faqat gham hi nahin baKHshe hain
mere lahje ko junun soch ko wahshat di hai

sab se milta hai to hans hans ke sitam Dhata hai
mere jazbon ko kahan tu ne ye qurbat di hai

tujh ko allah bachae sada nazar-e-bad se
tujh ko 'shahnaz' KHuda ne hasin surat di hai

(647) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai written by Shahnaz Rahmat at UrduPoint. Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai is one of the masterpieces written by Shahnaz Rahmat. You can also find the complete poetry collection of Shahnaz Rahmat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahnaz Rahmat' above.

Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri KHamosh Mohabbat Ki Ye Qimat Di Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.