Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi, Urdu Nazam By Shakeel Azmi

Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shakeel Azmi. Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دوسرے درجے کی پچھلی قطار کا آدمی

شکیل اعظمی

گوشت مچھلی سبزیاں بنیے کا راشن دودھ گھی

مجھ کو کھاتی ہیں یہ چیزیں میں نے کب کھایا انہیں

میرا گھر رہتا ہے مجھ میں گھر میں میں رہتا نہیں

بیوی بچوں کے پھٹے کپڑوں میں ہوں

اور نئے جوڑوں کی خوشیوں میں چھپا جو کرب ہے وہ بھی ہوں میں

فیس میں اسکول کی کاپی کتابوں میں بھی میں

میں ہی ہوں چولھے کی گیس

میں ہی ہوں اسٹو کا گیس

میرے جوتے جونک کی مانند میرے پاؤں سے لپٹے ہوئے ہیں

چوستے ہیں میرا خون

میرا اسکوٹر میرے کاندھوں پہ بیٹھا ہے

میں اس کے ٹائروں میں لپٹا ہوں اور گھستا ہوں

شکیل اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi

Shakeel Azmi

gosht machhli sabziyan baniye ka ration dudh ghi
mujh ko khati hain ye chizen main ne kab khaya inhen
mera ghar rahta hai mujh mein ghar mein main rahta nahin
biwi bachchon ke phaTe kapDon mein hun
aur nae joDon ki KHushiyon mein chhupa jo karb hai wo bhi hun main
fees mein school ki copy kitabon mein bhi main
main hi hun chulhe ki gas
main hi hun stowe ka gas
mere jute jonk ki manind mere panw se lipTe hue hain
chuste hain mera KHun
mera scooter mere kandhon pe baiTha hai
main us ke tyron mein lipTa hun aur ghista hun

(421) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi written by Shakeel Azmi at UrduPoint. Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi is one of the masterpieces written by Shakeel Azmi. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Azmi' above.

Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi is a widely read Urdu Nazam. If you like Dusre Darje Ki Pichhli Qatar Ka Aadmi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.