Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha, Urdu Ghazal By Shakir Naiti

Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shakir Naiti. Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم جل رہے تھے اور بظاہر نشاں نہ تھا

شاکر نائطی

ہم جل رہے تھے اور بظاہر نشاں نہ تھا

دل کی لگی وہ آگ تھی جس میں دھواں نہ تھا

روکا تھا مجھ کو میری خودی کے حجاب نے

دیکھا تو ان کے در پہ کوئی پاسباں نہ تھا

موہوم جلوہ تھا ترے عکس خیال کا

بدلا خیال تو نے تو سارا جہاں نہ تھا

وہ کر رہے تھے مجھ کو وفاؤں میں پختہ کار

مشق ستم ہے مد نظر امتحاں نہ تھا

پرواز فکر بھی رہی ذوق نظر کے ساتھ

پابندیٔ قفس سے مجھے کچھ زیاں نہ تھا

تھا اعتبار نقص و کمال نگاہ شوق

وہ جلوہ جو عیاں بھی نہیں تھا نہاں نہ تھا

ہم کو تو التفات کرم کا رہا خیال

ورنہ زباں پہ حرف تمنا گراں نہ تھا

بجلی چمک چمک کے نظر ڈالتی رہی

گرتی کہاں چمن میں مرا آشیاں نہ تھا

تھی زندگی محال غم عشق کے بغیر

جو غم دیا گیا تھا غم جاوداں نہ تھا

انکار کرتے کیا کہ ظلوم و جہول تھے

یہ تو نہیں کہ بار امانت گراں نہ تھا

شاکرؔ ہوا وفائے مسلسل سے کامیاب

آغاز عشق میں تو وہ کچھ مہرباں نہ تھا

شاکر نائطی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha

Shakir Naiti

hum jal rahe the aur ba-zahir nishan na tha
dil ki lagi wo aag thi jis mein dhuan na tha

roka tha mujh ko meri KHudi ke hijab ne
dekha to un ke dar pe koi pasban na tha

mauhum jalwa tha tere aks-e-KHayal ka
badla KHayal tu ne to sara jahan na tha

wo kar rahe the mujh ko wafaon mein puKHta-kar
mashq-e-sitam hai madd-e-nazar imtihan na tha

parwaz-e-fikr bhi rahi zauq-e-nazar ke sath
pabandi-e-qafas se mujhe kuchh ziyan na tha

tha eatibar-e-naqs-o-kamal-e-nigah-e-shauq
wo jalwa jo ayan bhi nahin tha nihan na tha

hum ko to iltifat-e-karam ka raha KHayal
warna zaban pe harf-e-tamanna giran na tha

bijli chamak chamak ke nazar Dalti rahi
girti kahan chaman mein mera aashiyan na tha

thi zindagi muhaal gham-e-ishq ke baghair
jo gham diya gaya tha gham-e-jawedan na tha

inkar karte kya ki zalum-o-jahul the
ye to nahin ki bar-e-amanat giran na tha

'shakir' hua wafa-e-musalsal se kaamyab
aaghaz-e-ishq mein to wo kuchh mehrban na tha

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha written by Shakir Naiti at UrduPoint. Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha is one of the masterpieces written by Shakir Naiti. You can also find the complete poetry collection of Shakir Naiti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakir Naiti' above.

Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Jal Rahe The Aur Ba-zahir Nishan Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.