Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein, Urdu Ghazal By Shams Farrukhabadi

Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Farrukhabadi. Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور فضا میں ایک پرندہ کھویا ہوا اڑانوں میں

شمس فرخ آبادی

دور فضا میں ایک پرندہ کھویا ہوا اڑانوں میں

اس کو کیا معلوم زمیں پر چڑھے ہیں تیر کمانوں میں

پھول توڑ کے لوگ لے گئے اونچے بڑے مکانوں میں

اب ہم کانٹے سجا کے رکھیں مٹی کے گل دانوں میں

بے در و بام ٹھکانا جس میں دھول دھوپ سناٹا غم

وہی ہے مجھ وحشی کے گھر میں جو کچھ ہے ویرانوں میں

آپ کے قدموں کی آہٹ سے شاید خواب سے جاگ اٹھے

سوئی ہوئی ویران اداسی کمروں میں دالانوں میں

رنج و الم تنہائی کے ساتھی گزر بسر کو کافی ہیں

خوشی تو شامل ہو جاتی ہے آئے گئے مہمانوں میں

ارماں سجے سجے پلکوں پر تار تار تھی اپنی جیب

اپنے لیے تو زخم دل تھے بازار اور دکانوں میں

وقت نے کیسا روپ دیا جو لوگ نہیں پہچان سکے

کاش کہ خود کو دیکھ بھی سکتے جگ کے آئینہ خانوں میں

ذکر شمسؔ اداس کرے گا چھوڑو اور کوئی بات کرو

ایسے شخص کی کیوں تم گنتی گنتے ہو انسانوں میں

شمس فرخ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein

Shams Farrukhabadi

dur faza mein ek parinda khoya hua uDanon mein
us ko kya malum zamin par chaDhe hain tir kamanon mein

phul toD ke log le gae unche baDe makanon mein
ab hum kanTe saja ke rakkhen miTTi ke gul-danon mein

be-dar-o-baam Thikana jis mein dhul dhup sannaTa gham
wahi hai mujh wahshi ke ghar mein jo kuchh hai viranon mein

aap ke qadmon ki aahaT se shayad KHwab se jag uThe
soi hui viran udasi kamron mein dalanon mein

ranj o alam tanhai ke sathi guzar basar ko kafi hain
KHushi to shamil ho jati hai aae gae mehmanon mein

arman saje saje palkon par tar tar thi apni jeb
apne liye to zaKHm-e-dil the bazar aur dukanon mein

waqt ne kaisa rup diya jo log nahin pahchan sake
kash ki KHud ko dekh bhi sakte jag ke aaina-KHanon mein

zikr-e-'shams' udas karega chhoDo aur koi baat karo
aise shaKHs ki kyun tum ginti ginte ho insanon mein

(457) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein written by Shams Farrukhabadi at UrduPoint. Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein is one of the masterpieces written by Shams Farrukhabadi. You can also find the complete poetry collection of Shams Farrukhabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Farrukhabadi' above.

Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dur Faza Mein Ek Parinda Khoya Hua UDanon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.