Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega, Urdu Ghazal By Shams Zubairi

Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Zubairi. Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر کی جانب چل تو دیا ہوں گاؤں بہت یاد آئے گا

شمس زبیری

شہر کی جانب چل تو دیا ہوں گاؤں بہت یاد آئے گا

سوچ رہا ہوں اب کے مقدر جانے کہاں لے جائے گا

گھر کو چھوڑے مدت گزری رستہ بھی اب یاد نہیں

تھک کے جہاں اب بیٹھ گئے ہم گھر بھی وہیں کہلائے گا

کس نے کس کا ساتھ دیا ہے کون کسی کے ساتھ چلا

جیسے سر سے دھوپ ڈھلی ہے سایہ بھی ڈھل جائے گا

خون کے رشتے ٹوٹ چکے ہیں چہروں کی پہچان گئی

جس کا اونچا محل بنے گا اپنا وہ بن جائے گا

اونچے گھروں میں بیٹھ کے اکثر لوگ کتابیں لکھتے ہیں

جس نے وہ گھر دیکھے ہی نہیں کیا اس کی سمجھ میں آئے گا

جادوگر کا شہر ہے یارو سحر زدہ ہے اس کی ہوا

جس نے اپنے ذہن سے سوچا پتھر کا بن جائے گا

اور تو سب کچھ بھول چکے ہیں شمسؔ بس اتنا یاد ہے اب

دھان کی فصلیں کٹنے لگی ہیں گندم بویا جائے گا

شمس زبیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega

Shams Zubairi

shahr ki jaanib chal to diya hun ganw bahut yaad aaega
soch raha hun ab ke muqaddar jaane kahan le jaega

ghar ko chhoDe muddat guzri rasta bhi ab yaad nahin
thak ke jahan ab baiTh gae hum ghar bhi wahin kahlaega

kis ne kis ka sath diya hai kaun kisi ke sath chala
jaise sar se dhup Dhali hai saya bhi Dhal jaega

KHun ke rishte TuT chuke hain chehron ki pahchan gai
jis ka uncha mahl banega apna wo ban jaega

unche gharon mein baiTh ke aksar log kitaben likhte hain
jis ne wo ghar dekhe hi nahin kya us ki samajh mein aaega

jadugar ka shahr hai yaro sehr-zada hai is ki hawa
jis ne apne zehn se socha patthar ka ban jaega

aur to sab kuchh bhul chuke hain 'shams' bas itna yaad hai ab
dhan ki faslen kaTne lagi hain gandum boya jaega

(251) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega written by Shams Zubairi at UrduPoint. Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega is one of the masterpieces written by Shams Zubairi. You can also find the complete poetry collection of Shams Zubairi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Zubairi' above.

Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr Ki Jaanib Chal To Diya Hun Ganw Bahut Yaad Aaega, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.