Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai, Urdu Ghazal By Shamsa Najm

Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shamsa Najm. Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہ رگ سے بھی تو قریب ہے ترا یہ کرم ہے کمال ہے

شمسہ نجم

شہ رگ سے بھی تو قریب ہے ترا یہ کرم ہے کمال ہے

یہ جو خاک میں بھی ہے روشنی ترا عکس روئے جمال ہے

اسے چاہتوں کا کہوں اثر کہ تو ساتھ میرے ہے ہر ڈگر

میں جہاں جہاں بھی کروں نظر ترا حسن ہے بے مثال ہے

میں تو خاک ہوں وہ تہ زمیں مرا ہے نصیب فنا جزا

ترے تاج شاہی کی بات کیا نہ فنا اسے نہ زوال ہے

یہی عشق ایسی ہے رہ گزر ہے بہت کٹھن جو اے ہم سفر

نہ رکھیں سنبھل کے قدم اگر چلے وقت الٹی ہی چال ہے

ترے قرب میں بھی ہیں دوریاں ترا کچھ عجب سا سلوک ہے

وہ سکوں جو تھا ترے قرب میں وہی آج خواب و خیال ہے

وہ رفیق کتنا بدل گیا نہ کرے ہے ذکر کبھی مرا

اسے کیا ہوا اسے کیا ہوا مرے ذہن میں یہ سوال ہے

وہ شرارتیں وہی شوخیاں مرے عہد طفل کے قہقہے

کہیں کھو گئے مرے رات دن اسی بات کا تو ملال ہے

وہ ڈری ڈری سی محبتیں کہ ہیں یاد مجھ کو وہ ساعتیں

وہ جو چاہتوں میں تھیں لذتیں وہ خیال جاں کا وبال ہے

اسی چارہ گر کی تلاش ہے کرے منزلوں کو جو روبرو

اسی رہنما کی ہے جستجو اسی راہبر کا سوال ہے

شمسہ نجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai

Shamsa Najm

shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai
ye jo KHak mein bhi hai raushni tera aks-e-ru-e-jamal hai

ise chahaton ka kahun asar ki tu sath mere hai har Dagar
main jahan jahan bhi karun nazar tera husn hai be-misal hai

main to KHak hun wo tah-e-zamin mera hai nasib fana jaza
tere taj-e-shahi ki baat kya na fana use na zawal hai

yahi ishq aisi hai rahguzar hai bahut kaThin jo ai ham-safar
na rakhen sambhal ke qadam agar chale waqt ulTi hi chaal hai

tere qurb mein bhi hain duriyan tera kuchh ajab sa suluk hai
wo sukun jo tha tere qurb mein wahi aaj KHwab-o-KHayal hai

wo rafiq kitna badal gaya na kare hai zikr kabhi mera
use kya hua use kya hua mere zehn mein ye sawal hai

wo shararten wahi shoKHiyan mere ahd-e-tifl ke qahqahe
kahin kho gae mere raat-din isi baat ka to malal hai

wo Dari Dari si mohabbaten ki hain yaad mujh ko wo saaten
wo jo chahaton mein thin lazzaten wo KHayal-e-jaan ka wabaal hai

usi chaaragar ki talash hai kare manzilon ko jo ru-ba-ru
usi rahnuma ki hai justuju usi rahbar ka sawal hai

(613) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai written by Shamsa Najm at UrduPoint. Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai is one of the masterpieces written by Shamsa Najm. You can also find the complete poetry collection of Shamsa Najm by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamsa Najm' above.

Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shah-e-rag Se Bhi Tu Qarib Hai Tera Ye Karam Hai Kamal Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.