Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut, Urdu Ghazal By Shan E Haider Bebak Amrohvi

Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shan E Haider Bebak Amrohvi. Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل نہ مانا عقل نے یہ بات سمجھائی بہت

شان حیدر بیباک امروہوی

دل نہ مانا عقل نے یہ بات سمجھائی بہت

عشق میں ہر گام پہ ہوتی ہے رسوائی بہت

شہرتوں کے واسطے ہے بزم آرائی بہت

محفلیں راس آئیں تم کو ہم کو تنہائی بہت

اس غلط فہمی میں میں نے کھو دیا اپنا وقار

اس نے کی تھی ایک دن میری پذیرائی بہت

کچھ حسیں یادوں کے منظر شام سے آنکھوں میں تھے

شب کو میرے پاس نیند آئی تو پچھتائی بہت

ایسی بستی میں میاں امن و اماں کا کیا سوال

صلح جو کم ہوں جہاں پر اور بلوائی بہت

گو بظاہر ہاتھ اس کے خون آلودہ نہیں

نفرتوں کی آگ لیکن اس نے بھڑکائی بہت

بک رہے ہیں آج کل بے بھاؤ لوگوں کے ضمیر

لوگ کیوں کہتے ہیں دنیا میں ہے مہنگائی بہت

احتساب زیست کرنے کے لئے بیٹھا تھا میں

یاد آئی دوستوں کی کار فرمائی بہت

زندگی بھر میں رہا ہوں رہرو راہ وفا

ان وفاؤں کی مگر میں نے سزا پائی بہت

پستہ قد کوشاں ہیں میرا قد گھٹانے کے لئے

پر مجھے اللہ نے بخشی ہے اونچائی بہت

طالب شہرت نہیں ببیاکؔ میں یہ سوچ کر

ایک دو کا ذکر کیا اس کے ہیں شیدائی بہت

شان حیدر بیباک امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut

Shan E Haider Bebak Amrohvi

dil na mana aql ne ye baat samjhai bahut
ishq mein har gam pe hoti hai ruswai bahut

shohraton ke waste hai bazm-arai bahut
mahfilen ras aain tum ko hum ko tanhai bahut

is ghalat-fahmi mein main ne kho diya apna waqar
us ne ki thi ek din meri pazirai bahut

kuchh hasin yaadon ke manzar sham se aankhon mein the
shab ko mere pas nind aai to pachhtai bahut

aisi basti mein miyan amn-o-aman ka kya sawal
sulh-ju kam hon jahan par aur balwai bahut

go ba-zahir hath us ke KHun-aluda nahin
nafraton ki aag lekin us ne bhaDkai bahut

bik rahe hain aaj-kal be-bhaw logon ke zamir
log kyon kahte hain duniya mein hai mahngai bahut

ehtisab-e-zist karne ke liye baiTha tha main
yaad aai doston ki kar-farmai bahut

zindagi bhar main raha hun rahraw-e-rah-e-wafa
in wafaon ki magar main ne saza pai bahut

pasta-qad koshan hain mera qad ghaTane ke liye
par mujhe allah ne baKHshi hai unchai bahut

talib-e-shohrat nahin 'bebak' main ye soch kar
ek do ka zikr kya us ke hain shaidai bahut

(320) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut written by Shan E Haider Bebak Amrohvi at UrduPoint. Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut is one of the masterpieces written by Shan E Haider Bebak Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Shan E Haider Bebak Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shan E Haider Bebak Amrohvi' above.

Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Na Mana Aql Ne Ye Baat Samjhai Bahut, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.