Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe, Urdu Ghazal By Hariq Kaifi

Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hariq Kaifi. Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے تکلف مرا ہیجان بناتا ہے مجھے

شارق کیفی

بے تکلف مرا ہیجان بناتا ہے مجھے

سامنے تیرے کہاں بولنا آتا ہے مجھے

وہ اداسی کہ بکھرنے سے نہیں بچ سکتا

اور ترا لمس کہ چنتا چلا جاتا ہے مجھے

اب مرے لوٹ کے آنے کا کوئی وقت نہیں

یوں بھی اب گھر سے سوا کون بلاتا ہے مجھے

گیت ہی صرف لبوں پر ہو تو آ جائے بھی نیند

وہ کوئی اور کہانی بھی سناتا ہے مجھے

قطع کر کے بھی تعلق وہ کہاں چین سے ہے

اس کے اسباب و دلائل بھی گناتا ہے مجھے

خود سے وہ کون سے شکوے ہیں کہ جاتے ہی نہیں

اپنے جیسوں پہ یقیں کیوں نہیں آتا ہے مجھے

اور اک بار ذرا چھیڑ مری روح کے تار

ان سروں میں تو کوئی اور بھی گاتا ہے مجھے

اک ترا درد ہے اچھے ہیں مراسم جس سے

بس وہی ہے کہ جو پلکوں پہ بٹھاتا ہے مجھے

میں کسی دوسرے پہلو سے اسے کیوں سوچوں

یوں بھی اچھا ہے وہ جیسا نظر آتا ہے مجھے

ہو سبب کچھ بھی مرے آنکھ بچانے کا مگر

صاف کر دوں کہ نظر کم نہیں آتا ہے مجھے

ناخداؤں نے تو خوش فہمیاں بخشی ہیں فقط

میں ہوں خطرے میں یہ طوفاں ہی بتاتا ہے مجھے

شارق کیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe

Hariq Kaifi

be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe
samne tere kahan bolna aata hai mujhe

wo udasi ki bikharne se nahin bach sakta
aur tera lams ki chunta chala jata hai mujhe

ab mere lauT ke aane ka koi waqt nahin
yun bhi ab ghar se siwa kaun bulata hai mujhe

git hi sirf labon par ho to aa jae bhi nind
wo koi aur kahani bhi sunata hai mujhe

qata kar ke bhi talluq wo kahan chain se hai
is ke asbab-o-dalael bhi ginata hai mujhe

KHud se wo kaun se shikwe hain ki jate hi nahin
apne jaison pe yaqin kyun nahin aata hai mujhe

aur ek bar zara chheD meri ruh ke tar
in suron mein to koi aur bhi gata hai mujhe

ek tera dard hai achchhe hain marasim jis se
bas wahi hai ki jo palkon pe biThata hai mujhe

main kisi dusre pahlu se use kyun sochun
yun bhi achchha hai wo jaisa nazar aata hai mujhe

ho sabab kuchh bhi mere aankh bachane ka magar
saf kar dun ki nazar kam nahin aata hai mujhe

na-KHudaon ne to KHush-fahmiyan baKHshi hain faqat
main hun KHatre mein ye tufan hi batata hai mujhe

(420) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe written by Hariq Kaifi at UrduPoint. Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe is one of the masterpieces written by Hariq Kaifi. You can also find the complete poetry collection of Hariq Kaifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hariq Kaifi' above.

Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-takalluf Mera Haijaan Banata Hai Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.