Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe, Urdu Ghazal By Hariq Kaifi

Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hariq Kaifi. Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات بے پردہ سی لگتی ہے مجھے

شارق کیفی

رات بے پردہ سی لگتی ہے مجھے

خوف نے ایسی نظر دی ہے مجھے

آہ اس معصوم کو کیسے بتاؤں

کیوں اسے کھونے کی جلدی ہے مجھے

جوش میں ہیں اس قدر تیماردار

ٹھیک ہوتے شرم آتی ہے مجھے

اک لطیفہ جو سمجھ میں بھی نہ آئے

اس پہ ہنسنا کیوں ضروری ہے مجھے

منتشر ہونے لگے سارے خیال

نیند بس آنے ہی والی ہے مجھے

اب جنوں کم ہونے والا ہے مرا

خیر اتنی تو تسلی ہے مجھے

لاکھ مدھم ہو تری چاہت کی لو

روشنی اتنی ہی کافی ہے مجھے

گرد ہے بارود کی سر میں تو کیا

موت اک افواہ لگتی ہے مجھے

شارق کیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe

Hariq Kaifi

raat be-parda si lagti hai mujhe
KHauf ne aisi nazar di hai mujhe

aah is masum ko kaise bataun
kyun use khone ki jaldi hai mujhe

josh mein hain is qadar timardar
Thik hote sharm aati hai mujhe

ek latifa jo samajh mein bhi na aae
us pe hansna kyun zaruri hai mujhe

muntashir hone lage sare KHayal
nind bas aane hi wali hai mujhe

ab junun kam hone wala hai mera
KHair itni to tasalli hai mujhe

lakh maddham ho teri chahat ki lau
raushni utni hi kafi hai mujhe

gard hai barud ki sar mein to kya
maut ek afwah lagti hai mujhe

(340) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe written by Hariq Kaifi at UrduPoint. Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe is one of the masterpieces written by Hariq Kaifi. You can also find the complete poetry collection of Hariq Kaifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hariq Kaifi' above.

Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Be-parda Si Lagti Hai Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.