Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye, Urdu Ghazal By Shatir Hakeemi

Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shatir Hakeemi. Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ رات کتنی بھیانک ہے بام و در کے لئے

شاطرحکیمی

یہ رات کتنی بھیانک ہے بام و در کے لئے

کہاں سے لاؤں سراج منیر گھر کے لئے

طلب کی راہ سلامت مقام شوق بہت

تکلفات ضروری نہیں سفر کے لئے

جمال یار سزاوار جہت خاص نہیں

عجیب مرحلہ در پیش ہے نظر کے لئے

غریب شہر تمنا اسیر دام فراق

تڑپ رہا ہے سر جادہ ہم سفر کے لئے

بصیرت لب و لہجہ نہ زندگی کا شعور

قرار بھی ہے ضروری دل و نظر کے لئے

نشاط کا رخ روشن دکھا گئی شب غم

دعا کو ہاتھ اٹھایا تھا میں سحر کے لئے

فغاں کہ جس نے زمانے کو روشنی بخشی

چراغ ڈھونڈ رہا ہے خود اپنے گھر کے لئے

حیات دفتر تخلیق بھی ہے اے شاطرؔ

حیات ایک معمہ بھی ہے بشر کے لئے

شاطرحکیمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye

Shatir Hakeemi

ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye
kahan se laun siraj-e-munir ghar ke liye

talab ki rah salamat maqam-e-shauq bahut
takallufat zaruri nahin safar ke liye

jamal-e-yar saza-war-e-jiht-e-KHas nahin
ajib marhala dar-pesh hai nazar ke liye

gharib-e-shahr-e-tamanna asir-e-dam-e-firaq
taDap raha hai sar-e-jada ham-safar ke liye

basirat-e-lab-o-lahja na zindagi ka shuur
qarar bhi hai zaruri dil o nazar ke liye

nashat ka ruKH-e-raushan dikha gai shab-e-gham
dua ko hath uThaya tha main sahar ke liye

fughan ki jis ne zamane ko raushni baKHshi
charagh DhunD raha hai KHud apne ghar ke liye

hayat daftar-e-taKHliq bhi hai ai 'shatir'
hayat ek muamma bhi hai bashar ke liye

(503) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye written by Shatir Hakeemi at UrduPoint. Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye is one of the masterpieces written by Shatir Hakeemi. You can also find the complete poetry collection of Shatir Hakeemi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shatir Hakeemi' above.

Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Raat Kitni Bhayanak Hai Baam-o-dar Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.