Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin, Urdu Ghazal By Shayar Jamali

Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shayar Jamali. Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جسم کی آنچ نہیں شعلۂ رخسار نہیں

شاعر جمالی

جسم کی آنچ نہیں شعلۂ رخسار نہیں

حسن کی اب وہ کہیں گرمئ بازار نہیں

کون سی روح پہ بار غم افکار نہیں

کون سا سر ہے کہ جس پر کوئی تلوار نہیں

پھینک دو مجھ کو دہکتے ہوئے سورج کی طرح

میری قسمت میں اگر سایۂ دیوار نہیں

ان کے پیروں کے تلے پھول بچھائے جائیں

اور میں لمس نظر کا بھی تو حق دار نہیں

کیوں مصر ہو کہ غلط بات کی تائید کروں

میں تو اس جرم پہ اپنا بھی طرف دار نہیں

کس لئے ہیں یہ سزا اور جزا کے چرچے

جب تجھے میری حقیقت سے بھی انکار نہیں

پاؤں ٹھوکر کو ترستے ہیں کہ تا حد نظر

راستے میں کوئی پتھر نہیں دیوار نہیں

جب یہ چلتی ہے تو دل کاٹ دیا کرتی ہے

ہم نے مانا کہ زباں ہے کوئی تلوار نہیں

مجھ میں دلچسپی کے اسباب نہ ڈھونڈو یارو

اک حقیقت ہوں میں افسانے کا کردار نہیں

مجھ کو تاریخ میں محفوظ کیا جائے گا

میں صحیفہ ہوں کوئی روز کا اخبار نہیں

میں پریشاں ہوں بھکاری تو نہیں ہوں لوگو

کیوں کوئی آنکھ ملانے کا روادار نہیں

حق بہ جانب ہو جو ہنستے ہو مرا غم سن کر

مجھ میں بے شک یہ کمی ہے میں اداکار نہیں

اب ترے جور کا سورج ہے سوا نیزے پر

زیر دیوار بھی اب سایۂ دیوار نہیں

تجھ پہ آئیں گے ہر اک سمت سے پتھر شاعرؔ

کوچۂ یار ہے یہ مصر کا بازار نہیں

شاعر جمالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin

Shayar Jamali

jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin
husn ki ab wo kahin garmi-e-bazar nahin

kaun si ruh pe bar-e-gham-e-afkar nahin
kaun sa sar hai ki jis par koi talwar nahin

phenk do mujh ko dahakte hue suraj ki tarah
meri qismat mein agar saya-e-diwar nahin

un ke pairon ke tale phul bichhae jaen
aur main lams-e-nazar ka bhi to haqdar nahin

kyon musir ho ki ghalat baat ki taid karun
main to is jurm pe apna bhi taraf-dar nahin

kis liye hain ye saza aur jaza ke charche
jab tujhe meri haqiqat se bhi inkar nahin

panw Thokar ko taraste hain ki ta-hadd-e-nazar
raste mein koi patthar nahin diwar nahin

jab ye chalti hai to dil kaT diya karti hai
hum ne mana ki zaban hai koi talwar nahin

mujh mein dilchaspi ke asbab na DhunDo yaro
ek haqiqat hun main afsane ka kirdar nahin

mujh ko tariKH mein mahfuz kiya jaega
main sahifa hun koi roz ka aKHbar nahin

main pareshan hun bhikari to nahin hun logo
kyon koi aankh milane ka rawadar nahin

haq-ba-jaanib ho jo hanste ho mera gham sun kar
mujh mein be-shak ye kami hai main adakar nahin

ab tere jaur ka suraj hai siwa neze par
zer-e-diwar bhi ab saya-e-diwar nahin

tujh pe aaenge har ek samt se patthar 'shair'
kucha-e-yar hai ye misr ka bazar nahin

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin written by Shayar Jamali at UrduPoint. Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin is one of the masterpieces written by Shayar Jamali. You can also find the complete poetry collection of Shayar Jamali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shayar Jamali' above.

Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jism Ki Aanch Nahin Shoala-e-ruKHsar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.