Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir, Urdu Ghazal By Shehla Naqvi

Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shehla Naqvi. Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر فلک بوس عمارت ہے انا کی تصویر (ردیف .. ن)

شہلا نقوی

ہر فلک بوس عمارت ہے انا کی تصویر

اور میں ٹوٹ کے گرتی ہوئی دیوار میں ہوں

تم کو تنہائی کا احساس ہوا کیوں آخر

میں تو مدت سے تمہارے در و دیوار میں ہوں

شہر کے شہر پہ ہے نیند کا افسوں طاری

میں ہوں خوش بخت کہ اک دیدۂ بے دار میں ہوں

نہ سمندر نہ گھٹاؤں کی رہین منت

بھیگتی اپنے ہی جذبات کی بوچھار میں ہوں

ذہن اور جسم تو ہیں کار زیاں میں مصروف

روح کے ساتھ میں اک حسرت دیدار میں ہوں

اس کی آوارہ نگاہی کا گلا کیا شہلاؔ

میں تو خود اپنے ہی اقرار میں انکار میں ہوں

شہلا نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir

Shehla Naqvi

har falak-bos imarat hai ana ki taswir
aur main TuT ke girti hui diwar mein hun

tum ko tanhai ka ehsas hua kyun aaKHir
main to muddat se tumhaare dar-o-diwar mein hun

shahar ke shahar pe hai nind ka afsun tari
main hun KHush-baKHt ki ek dida-e-bedar mein hun

na samundar na ghaTaon ki rahin-e-minnat
bhigti apne hi jazbaat ki bauchhaar mein hun

zehn aur jism to hain kar-e-ziyan mein masruf
ruh ke sath main ek hasrat-e-didar mein hun

us ki aawara nigahi ka gila kya 'shahla'
main to KHud apne hi iqrar mein inkar mein hun

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir written by Shehla Naqvi at UrduPoint. Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir is one of the masterpieces written by Shehla Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Shehla Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shehla Naqvi' above.

Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Falak-bos Imarat Hai Ana Ki Taswir, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.