Hasrat-e-did Bar Nahin Aati, Urdu Ghazal By Shivraj Bahar

Hasrat-e-did Bar Nahin Aati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shivraj Bahar. Hasrat-e-did Bar Nahin Aati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hasrat-e-did Bar Nahin Aati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسرت دید بر نہیں آتی

شیوراج بہار

حسرت دید بر نہیں آتی

اب وہ صورت نظر نہیں آتی

کوئی چٹکی سی دل میں لیتا ہے

بے سبب آنکھ بھر نہیں آتی

اور سب کچھ ہے آدمی میں مگر

آدمیت نظر نہیں آتی

کام عمر رواں سے لے غافل

یہ کبھی لوٹ کر نہیں آتی

جس سے مٹ جائے ظلمت ہستی

کوئی ایسی سحر نہیں آتی

ان کو اپنے قریب پاتا ہوں

جب کچھ اپنی خبر نہیں آتی

ایک بھی چیز دونوں عالم کی

دل سے افضل نظر نہیں آتی

روشنی کیا ہے روشنی جب تک

ظلمتوں سے گزر نہیں آتی

ان کی باتوں سے کھل گیا یہ بہارؔ

بات بنتی نظر نہیں آتی

شیوراج بہار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hasrat-e-did Bar Nahin Aati

Shivraj Bahar

hasrat-e-did bar nahin aati
ab wo surat nazar nahin aati

koi chuTki si dil mein leta hai
be-sabab aankh bhar nahin aati

aur sab kuchh hai aadmi mein magar
aadamiyyat nazar nahin aati

kaam umr-e-rawan se le ghafil
ye kabhi lauT kar nahin aati

jis se miT jae zulmat-e-hasti
koi aisi sahar nahin aati

un ko apne qarib pata hun
jab kuchh apni KHabar nahin aati

ek bhi chiz donon aalam ki
dil se afzal nazar nahin aati

raushni kya hai raushni jab tak
zulmaton se guzar nahin aati

un ki baaton se khul gaya ye 'bahaar'
baat banti nazar nahin aati

(459) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hasrat-e-did Bar Nahin Aati written by Shivraj Bahar at UrduPoint. Hasrat-e-did Bar Nahin Aati is one of the masterpieces written by Shivraj Bahar. You can also find the complete poetry collection of Shivraj Bahar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shivraj Bahar' above.

Hasrat-e-did Bar Nahin Aati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hasrat-e-did Bar Nahin Aati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.