Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai, Urdu Ghazal By Shyam Sunder Lal Barq

Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shyam Sunder Lal Barq. Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عبث ہے دوری کا اس کے شکوہ بغل میں اپنے وہ دل ربا ہے

شیام سندر لال برق

عبث ہے دوری کا اس کے شکوہ بغل میں اپنے وہ دل ربا ہے

چبھی ہے قالب میں جس طرح جاں اسے طریقہ سے وہ چھپا ہے

مکاں بھی ہے وہ مکیں بھی ہے وہ وہی ملا ہے وہی جدا ہے

اسی کا جلوہ ہر ایک سو ہے وہی ہے ظاہر وہی چھپا ہے

غم محبت ہے اس کا جس کو نہیں وہ غم عین ہے وہ راحت

خراب جو عشق میں ہے اس کے نہیں وہ بگڑا بنا ہوا ہے

نہ پارسائی نماز سے ہے نہ روزہ داری ہے زہد و تقویٰ

مئے محبت پئے جو اس کی وہی حقیقت میں پارسا ہے

وہ رنج آخر کو ہوگا راحت وہ مرگ‌ عمر دوام ہوگی

جو عشق صادق میں مر مٹا تو تو پھر عبث شاکیٔ جفا ہے

نہ کوئی دشمن نہ دوست اپنا نہ نیک و بد سے ہمیں تعلق

جو چشم وحدت سے ہم نے دیکھا نہ کچھ برا ہے نہ کچھ بھلا ہے

جو درد ہجراں سے جاں بہ لب ہے علاج ممکن ہے اس کا کیوں کر

مسیح سمجھے ہیں جس کو وہ خود مرض میں الفت کی مبتلا ہے

جہاں میں صدہا ہزارہا گھر بسے جو تھے وہ اجڑ گئے ہیں

نہ ہوگا ویران خانۂ دل جہاں وہ بت آ کے بس گیا ہے

جو ہے طلب گار اس کا صادق ہوا ہے دونوں جہاں سے فارغ

نہ حور و غلماں کا ہے وہ خواہاں نہ وہ حسینوں پہ شیفتہ ہے

زبان انساں میں کب ہے قدرت کرے جو اظہار شان وحدت

نہ ابتدا سے ہے کوئی واقف نہ اس کی معلوم انتہا ہے

اٹھا لے فضل و کرم سے یا رب کریم ہے اور رحیم تو ہے

جو برقؔ بار عظیم عصیاں سے گر کے در پر ترے پڑا ہے

شیام سندر لال برق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai

Shyam Sunder Lal Barq

abas hai duri ka us ke shikwa baghal mein apne wo dil-ruba hai
chubhi hai qalib mein jis tarah jaan use tariqe se wo chhupa hai

makan bhi hai wo makin bhi hai wo wahi mila hai wahi juda hai
usi ka jalwa har ek su hai wahi hai zahir wahi chhupa hai

gham-e-mohabbat hai us ka jis ko nahin wo gham ain hai wo rahat
KHarab jo ishq mein hai us ke nahin wo bigDa bana hua hai

na parsai namaz se hai na roza-dari hai zohd-o-taqwa
mai-e-mohabbat piye jo us ki wahi haqiqat mein parsa hai

wo ranj aaKHir ko hoga rahat wo marg-e-umr-e-dawam hogi
jo ishq-e-sadiq mein mar miTa tu to phir abas shaki-e-jafa hai

na koi dushman na dost apna na nek-o-bad se hamein talluq
jo chashm-e-wahdat se hum ne dekha na kuchh bura hai na kuchh bhala hai

jo dard-e-hijran se jaan-ba-lab hai ilaj mumkin hai us ka kyunkar
masih samjhe hain jis ko wo KHud maraz mein ulfat ki mubtala hai

jahan mein sadha hazar-ha ghar base jo the wo ujaD gae hain
na hoga viran KHana-e-dil jahan wo but aa ke bas gaya hai

jo hai talabgar us ka sadiq hua hai donon-jahan se farigh
na hur-o-ghilman ka hai wo KHwahan na wo hasinon pe shefta hai

zaban-e-insan mein kab hai qudrat kare jo izhaar-e-shan-e-wahdat
na ibtida se hai koi waqif na us ki malum intiha hai

uTha le fazl-o-karam se yarab karim hai aur rahim tu hai
jo 'barq' bar-e-azim-e-isyan se gir ke dar par tere paDa hai

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai written by Shyam Sunder Lal Barq at UrduPoint. Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai is one of the masterpieces written by Shyam Sunder Lal Barq. You can also find the complete poetry collection of Shyam Sunder Lal Barq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shyam Sunder Lal Barq' above.

Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abas Hai Duri Ka Uske Shikwa Baghal Mein Apne Wo Dil-ruba Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.