Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai, Urdu Ghazal By Siddiq Fatahpuri

Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Siddiq Fatahpuri. Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہی معیار اب دنیا میں صبح و شام ٹھہرا ہے

صدیق فتح پوری

یہی معیار اب دنیا میں صبح و شام ٹھہرا ہے

ہوا کے ساتھ چلنا زندگی کا کام ٹھہرا ہے

کہاں تک ساتھ دے گا حق پرستی کا کوئی آخر

صداقت پر ہمیشہ جھوٹ کا الزام ٹھہرا ہے

بتائے گا وہی لذت سرور و تشنہ کامی کی

لب دریا پہنچ کر جو بھی تشنہ کام ٹھہرا ہے

ستارے جھانکنے لگتے ہیں پلکوں کے دریچے سے

یہی ہر منتہائے رنج کا انجام ٹھہرا ہے

گئے وہ دن کہ قاتل قابل تعزیر ہوتا تھا

ہمارے عہد میں اب قتل پر انعام ٹھہرا ہے

ہواؤں نے بجھانے کی تو کوشش کی بہت لیکن

فصیل شہر پر روشن چراغ شام ٹھہرا ہے

وضاحت چاہئے کچھ اور آئین سیاست میں

ابھی اے محتسب انصاف میں ابہام ٹھہرا ہے

میں اپنی بے گناہی تو ابھی ثابت نہ کر پایا

ستم اس پر تمہارا جرم میرے نام ٹھہرا ہے

انا کے زعم سے جب بھی نکل کر بات کی ہم نے

ہمارا مدعا صدیقؔ پھر الہام ٹھہرا ہے

صدیق فتح پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai

Siddiq Fatahpuri

yahi mear ab duniya mein subh-o-sham Thahra hai
hawa ke sath chalna zindagi ka kaam Thahra hai

kahan tak sath dega haq-parasti ka koi aaKHir
sadaqat par hamesha jhuT ka ilzam Thahra hai

bataega wahi lazzat surur-o-tishna-kaami ki
lab-e-dariya pahunch kar jo bhi tishna-kaam Thahra hai

sitare jhankne lagte hain palkon ke dariche se
yahi har muntaha-e-ranj ka anjam Thahra hai

gae wo din ki qatil qabil-e-tazir hota tha
hamare ahd mein ab qatl par inam Thahra hai

hawaon ne bujhane ki to koshish ki bahut lekin
fasil-e-shahr par raushan charagh-e-sham Thahra hai

wazahat chahiye kuchh aur aain-e-siyasat mein
abhi ai mohtasib insaf main ibham Thahra hai

main apni be-gunahi to abhi sabit na kar paya
sitam is par tumhaara jurm mere nam Thahra hai

ana ke zoam se jab bhi nikal kar baat ki hum ne
hamara muddaa 'siddiq' phir ilham Thahra hai

(731) ووٹ وصول ہوئے

You can read Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai written by Siddiq Fatahpuri at UrduPoint. Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai is one of the masterpieces written by Siddiq Fatahpuri. You can also find the complete poetry collection of Siddiq Fatahpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Siddiq Fatahpuri' above.

Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahi Mear Ab Duniya Mein Subh-o-sham Thahra Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.