Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara, Urdu Ghazal By Siya Sachdev

Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Siya Sachdev. Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصورات میں دل کی اڑان دیکھ ذرا

سیا سچدیو

تصورات میں دل کی اڑان دیکھ ذرا

اسی زمیں سے کبھی آسمان دیکھ ذرا

ابھی تو جسم کے ہی گھاؤ تو نے دیکھے ہیں

جو میرے دل پہ ہیں وہ بھی نشان دیکھ ذرا

تو اس سے پہلے کریں بات غیر سنجیدہ

مرا مزاج مرے قدردان دیکھ ذرا

دھواں بھی ہو گیا اب تو فضاؤں سے غائب

کہاں ہے شہر میں میرا مکان دیکھ ذرا

حقیر نظروں سے اے مجھ کو دیکھنے والے

مرا گھرانا مرا خاندان دیکھ ذرا

زمین پھٹنے کا کرتی ہوں انتظار سیاؔ

مرا جنون مرے امتحان دیکھ ذرا

سیا سچدیو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara

Siya Sachdev

tasawwuraat mein dil ki uDan dekh zara
usi zamin se kabhi aasman dekh zara

abhi to jism ke hi ghaw tu ne dekhe hain
jo mere dil pe hain wo bhi nishan dekh zara

tu is se pahle karen baat ghair sanjida
mera mizaj mere qadr-dan dekh zara

dhuan bhi ho gaya ab to fazaon se ghaeb
kahan hai shahr mein mera makan dekh zara

haqir nazron se ai mujh ko dekhne wale
mera gharana mera KHandan dekh zara

zamin phaTne ka karti hun intizar 'siya'
mera junun mere imtihan dekh zara

(446) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara written by Siya Sachdev at UrduPoint. Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara is one of the masterpieces written by Siya Sachdev. You can also find the complete poetry collection of Siya Sachdev by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Siya Sachdev' above.

Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwuraat Mein Dil Ki UDan Dekh Zara, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.