Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se, Urdu Ghazal By Sohail Akhtar

Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sohail Akhtar. Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دست بردار ہوا میں بھی طلب گاری سے

سہیل اختر

دست بردار ہوا میں بھی طلب گاری سے

اب کہیں جا کے افاقہ ہوا بیماری سے

خاک میں خود کو ملایا تو جڑیں پائی ہیں

کیسے روکے گا کوئی مجھ کو نموداری سے

ٹوٹ ہی جاتے ہیں اخلاص کے پتلے آخر

سو مجھے بچ کے نکلنا ہے اداکاری سے

اب بھی کچھ چیزیں ہیں بازار میں جو آئی نہیں

اب بھی منکر ہے کوئی میری خریداری سے

ہم اکہرے کبھی بر وقت سمجھ پاتے نہیں

کام کر جاتا ہے چپ چاپ وہ تہہ داری سے

دل نادان الٹ دیتا ہے اکثر یہ بساط

عقل یوں چال بہت چلتی ہے عیاری سے

جب اچانک ہی ہر اک فیصلہ ہونا ہے یہاں

مجھ کو بھی کوئی علاقہ نہیں تیاری سے

سخت جانی کے ملے کتنے ہی اعزاز مجھے

اور ملتا بھی کیا امید کی بے زاری سے

جلتا اوپر سے ہوں اندر سے نکھرتا ہوں سہیلؔ

خود کو یوں آگ لگاتا ہوں میں فن کاری سے

سہیل اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se

Sohail Akhtar

dast-bardar hua main bhi talabgari se
ab kahin ja ke ifaqa hua bimari se

KHak mein KHud ko milaya to jaDen pai hain
kaise rokega koi mujh ko numudari se

TuT hi jate hain iKHlas ke putle aaKHir
so mujhe bach ke nikalna hai adakari se

ab bhi kuchh chizen hain bazar mein jo aai nahin
ab bhi munkir hai koi meri KHaridari se

hum akahre kabhi bar-waqt samajh pate nahin
kaam kar jata hai chup-chap wo tahdari se

dil-e-nadan ulaT deta hai akasr ye bisat
aql yun chaal bahut chalti hai ayyari se

jab achanak hi har ek faisla hona hai yahan
mujh ko bhi koi ilaqa nahin tayyari se

saKHt-jaani ke mile kitne hi eazaz mujhe
aur milta bhi kya ummid ki be-zari se

jalta upar se hun andar se nikharta hun 'suhail'
KHud ko yun aag lagata hun main fankari se

(506) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se written by Sohail Akhtar at UrduPoint. Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se is one of the masterpieces written by Sohail Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sohail Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sohail Akhtar' above.

Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dast-bardar Hua Main Bhi Talabgari Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.